Dil to karta hai teri tanhai khareed lun
Par afsos mere pass khud tanhai k siwa kuch nahi
Yaho sochte sochte hum aik doosray ko kho dein gein
Wo mujhe yaad nahi karta to, Mien ose kyun yaad karun
Abar ki tarah hai wo shakhs choo na sakun lekin
Hath jab b phelaya aa gaya duaaon mein
Ab to khud apni zaroorat b na rahi hum ko
Wo b kya din they k teri zaroorat sirf hum they
Tarah tarah se bhulaya tujhe, magar ye haal hua
Har aik khayal se paida tera khayal hua
Na shab firaaq na baraf na barashein
Ay veeran december
Tu b hamari tarah ujar gaya kya
Jin pay hota hai buhat dil ko bharosa
Waqt parnay pay wohi log dagha daitay hein
Bewafai ki thokar aisi lagi k ab jee bhar gaya hai duniya se
Warna hum b they kisi k aashiq abhi kal he ki baat hai
Tuj mein chupay hein meri zindagi k hazaron raaz
Tujhe waasta hai zindagi ka zara khud ka khayal rakhna
Mat gira apnay jhootay ishq k ansu meri qabar par
Agar tuj mein wafa hoti to aaj hum yun zindagi se khafa na hotay
Koi gila nahi mujhe tumharay na yaad karnay se
Ujray howe chaman ko to parinday b chor jatay hein
Jhooti muhabbat, wafa k waday ,Iqrar ki qasmein
Kitna kuch kartay hein log kisi ko barbaad karnay k liye
Naraaz tum, naraaz hum, kaiay mitein phir ye dooriyan
Hum muntazir, tum bekhabar, dono ki hein majboriyan
Baat to aam si hai par itni aam b nahi
Sab ko khushyan mil jati hein par mera hissa kho jata hai
Ajab duniya hai koi chahat ki baat karta hai koi chahnay ki
Hum to dono azma chukay na chahat mili na chahnay wala