Friday, 20 February 2015

Dhoka deti hain haseen chehron ki chamak aksar

Dhoka deti hain haseen chehron ki chamak aksar
her Kaanch k tukray ko heera nahi kehtay
 

ye meri zindagi ki sab se bari tamanna hai

ye meri zindagi ki sab se bari tamanna hai
tum har pal raho mere paas meri sanson ki tarah

Zamanay se suna tha k muhabbat haar jati hai

Zamanay se suna tha k muhabbat haar jati hai
Jo chahat aik tarfa ho wo chahat haar jati hai
 
Kahin par dua ka ik lafz bhi asar ker jata hai
Kahin barson ki ebadat haar jati hai
 
Muhabbat kab kisi ko dushmani ka dars daiti hai
Muhabbat ki baazi mein adawat haar jati hai
 
hamein kitnay bhi shikway hon teri jafaon k
Par tere samnay har ek shikayat haar jati hai
 
Ek aarzu si hai k tujhe bhool jayein hum
Par teri yaad aatay he ye hasrat haar jati hai

Sirf itna he kaha hai

Sirf itna he kaha hai
pyar hai tum se
jazbaton ki kabhi
numaish nahi ki
pyar ke badlay sirf pyar manga hai
Rishtey ki kabhi guzarish nahi ki
chaho to bhula dena
humein dil se
Sadaa yaad rakhne ki
sifarish nahi ki
Tumse mil kar puri hui
Saari aarzu meri
aur to kisi cheez ki khuwaish nahi ki
 

Wo ziddi thi bohat magar

Wo ziddi thi bohat magar
meri eltijaon pay maan jaati thi
Meri har baat pay wo inkaar karti
magar meri zidd pay wo haar jaati thi

tumhein apni aankhon mein nahi rakha

tumhein apni aankhon mein nahi rakha
Kahin aansu k sath beh na jao
Tumehin apnay dil mein rakha hai
Taa k har dharkan k sath yaad aao


Tuesday, 17 February 2015

Tajurba aik he ibrat k liye kaafi tha

Tajurba aik he ibrat k liye kaafi tha
Meine daikha he nahi ishq dobara kar k

Udas udas si raatein hain

Udas udas si raatein hain
Bikhri bikhri teri yaadein hain

Mujhe aaj tum behad Dilkash-o-Masooom lagti ho

Mujhe aaj tum behad Dilkash-o-Masooom lagti ho
Tumhari Saadgi mein ik adaa-e-Qatilana hai

Hazaar jaam-e-lutf hazaar meh'khaney

Hazaar jaam-e-lutf hazaar meh'khaney
Nihaah-e-Yaar ki lazzat sharab kya janay

Matlab parasti thi ya masoomiyat khuda janay

Matlab parasti thi ya masoomiyat khuda janay
Kaha mene muhabbat hai wo boli kya matlab

Kya ghazab hai k oski khamoshi

Kya ghazab hai k oski khamoshi
Mujh se baatein hazaar karti hai

Dil-e-Masoom pay ye tere Qatilana hamley

Dil-e-Masoom pay ye tere Qatilana hamley
Apni adaaon se kaho zara lehaaz karein

Oski masoomiyat mein itna asar tha

Oski masoomiyat mein itna asar tha
Khareed li os ne aik he muskaan mein zindagi hamari

Ishq ne "Ghalib" nikamma kar diya

Ishq ne "Ghalib" nikamma kar diya
Warna ham bhi aadmi they baray kaam kay

Buaht khoobsurat weham hai mera

Buhat khoobsurat weham hai mera
Kahin to koi hai jo hai sirf mera.....!!

Buhat kuch badla hai maine apne aap mein lekin

Buhat kuch badla hai maine apne aap mein lekin
tumhe wo toot ke chahne ki aadat ab tak nahi badli

Tum se ek rishta jorne ki khatir

Tum se ek rishta jorne ki khatir........!!
Maine apne tamam rishte qurbaan kar diye

Friday, 13 February 2015

Daikh kar joban tera kis kis ko heraani hui

Daikh kar joban tera kis kis ko heraani hui
Es jawani par jawaani aap deewani hui


Aag se khelna hai shouq apna

Aag se khelna hai shouq apna
Ab tere khat ,, jalaye jayein gein


kabhi aansu , kabhi sajday , kabhi hathon ka uth jaana

Kabhi aansu , kabhi sajday , kabhi haathon ka uth jana
Muhabbatein nakaam ho jayein to rab buhat yaad aata hai


Husan e jana ki tareef kya karein

Husan e jaana ki tareef kya karein
Jaisay phool ho koi gulaab ka



Dil par rakhein qaaboo kis tarah

Dil par rakhein qaboo kis tarah
Q itnay kareeb aa gaye ho tum...??


Suno ... tere husan o ada par he to martay hein jana!

Suno...Tere husan o ada par he to martay hein jana!!
Warna mohabbat to mujhe apni zaat se bhi nahi


Hain aaj agar wo khush kisi aur k sath

Hain aaj agar wo khush kisi aur k sath mujhe tanha chor kar
Es mein uska kya qasoor,
Dua meri he thi k wo hamesha khush rahay

Kaash k wo lout aaye mujh se ye kehne

kaash k wo lout aaye mujh se ye kehne
Tum hotey kon ho mujh se bicharne walay






Hath zakhmi howe kuch apni bhi ghalti thi jana

Hath zakhmi howe kuch apni bhi ghalti thi jana
Lakeeron ko mitaney chaley they kissi ko paaney k liye


Chalo choro ye behas o takraar ki batein

Chalo choro ye behas o takraar ki batein
Ye batao bichar k khush to ho na
Ya meri mout ka bhi intizar hai


Meri zindagi mein faqat do he cheezein na mumkin rahi

Meri zindagi mein faqat do he cheezein na mumkin rahi
Tujhe paa lainay ki tammana , Ya phir tujhe bhool janay ki khuwaish

Alwida kehtey howey jab main ne

Alwida kehtey howey
jab main ne os se mangi koi nishani

Wo muskura k boley
K meri judai he kaafi hai tujhe rulaney k liye

Barbadiyon ka jaiyza lainay k wastay

Barbadiyon ka jaiyza lainay k wastay
Wo mera haal poochtey hein kabhi kabhi


Thursday, 12 February 2015

Dil ki dhakanein hein beqarar

Dil ki dharkanein hein beqarar
Chalay aao k ab intizar nahi hota


Najanay kyun itna yaqeen hai teri wafa par

Najanay kyun itna yaqeen hai teri wafa par
Warna husan walay to khud se bhi wafa nahi kartay


Ay jaha'n itna bad salook na ban

Ay jaha'n itna bad salook na ban
Hum kahan baar baar aatay hein


Aaj barish bhi tere dard ki tarah hai

Aaj barish bhi tere dard ki tarah hai
Halki halki hai par hoti ja rahi hai


Jis taraf bhi daikhun tera he aks mayyassar hai aankhon mein

Jis taraf bhi daikhun tera he aks mayyassar hai aankhon mein
Ya har koi tum jaisa hai , ya saara zamana tum ho

Imtehan-E-Ishq mein maine sub kuch aazmaya

Imtehan-E-Ishq mein mainay sab kuch aazmaya
Magar kuch kaam na aaya sabar k siwa

Barish howi to ghar k dareeche se lagay hum

Barish howi to ghar k dareeche se lagay hum
Chup-chaap sogwaar tumhein sochte rahay


Wo naam jo barso se

Wo naam jo barso se, na chehra na badan hai
Wo khuwab agar hai to bikhar kyun nahi jaata


Oski masoomiyat mein itna asar tha

Oski masoomiyat mein itna asar tha
Khareed li os nay aik he muskaan mein zindagi meri


Mujhe to es poorey jahan mein tum se he muhabbat hai

Mujhe to es poorey jahan mein tum se he muhabbat hai
Ya mera imtihaan le lo ,, ya mera aitebar kar lo


Monday, 9 February 2015

Agar che mujh ko judai teri ganwara nahi

Agar che mujh ko judai teri ganwara nahi
Siwaye es k magar aur koyi chara nahi

Teri furqat k sadmay kam na hon gein

Agar ittefaqan mil bhi jaye
Teri furqat k sadmay kam na hon gein

Ik hamsafar ko kho k ye halat howi adam

Ik hamsafar ko kho k ye halat howi adam
jangal mein jis tarah koyi bay aas reh gaya

Ik lamhay ko aaya tha

Ik lamhay ko aaya tha , sar e bazm wo khush ru
jo ghar se gaye daikhnay ghar tak nahi pounchey

Ik kiran bhi to nahi gham ki andheri raat mein

Ik kiran bhi to nahi gham ki andheri raat mein
Koyi jugnu , koyi aansu koyi taara kuch to ho

Ik umar kat gayi hai tere intizar mein

Ik umar kat gayi hai tere intizar mein
aisay bhi hein k kat na saki jin se aik raat

Ik umar se hun lazzat gariya se bhi mehroom

Ik umar se hun lazzat e gariya se bhi mehroom
aye raahat e jaa'n mujh ko rulanay k liye aaa

Ik ishq ka gham e aafat

Ik ishq ka gham e aafat aur os pay ye dil aafat
Ya gham na diya hota ya dil na diya hota

Ik ajab shor sa bapa hai kaheen

Ik ajab shor sa bapa hai kahee'n
koyi khamosh ho gaya hai kahee'n

Ik zindagi guzeda se ye dushmani na kar

Ik zindagi guzeda se ye dushmani na kar
aye dost mujh ko umar e abad ki dua na dy

Ik dafa bikhri to haath aayi hai kab baad e shameem

Ik dafa bikhri to haath aayi hai kab baad e shameem
Dil se nikli hai to kab lab pay fagha'n thehri hai

Isi kooche mein kayi es k shanasa bhi to hein

isi kooche mein kayi es k shanasa bhi to hein
wo kisi aur se milnay k bahanay aaye

Isi rastay emin aakhir wo karri manzil bhi aaye gi

Isi rastay mein aakhir wo karri manzil bhi aaye gi
Jahan dum tor dy gi yad e yaraa'n hum na kehtay they

Oski chahat mein bara jee ka ziyaa'n hai yaaro

Oski chahat mein bara jee ka ziyaa'n hai yaaro
Ye alag baat hai k hum nay ose chaha phir bhi

Oski tasweer liye betha hai aankhon mein qateel

Oski tasweer liye betha hai aankhon mein qateel
Jis k milnay ki koyi aas nahi hai yaaro

meri sochen bhi pareshaan

Oski batein bhi dilaawez hein soorat ki tarah
meri sochein bhi pareshan mere balon jaisi

Sunday, 8 February 2015

Es khouf se wo sath nibhanay k haq mein hai

Es khouf se wo sath nibhanay k haq mein hai
kho kar mujhe , ye larki dukh se mar na jaye

Es shehar e muhabbat mein ajab kaal para hai

Es shehar e muhabbat mein ajab kaal para hai
Hum jaisay sabak log bhi nayaab buhat hein

Os se ik baar to rootun mein osi ki maanind

Os se ik baar to rootun mein osi ki maanind
aur meri tarah se wo mujh ko mananay aaye

Os raat aasman ki rangat ajeeb thi

Os raat aasman ki rangat ajeeb thi
Os raat apnay ghar mein koyi so nahi saka

Es badaltay howe zamanay mein

Es badaltay howe zamanay mein
tere qissay bhi kuch puranay lagay

Es aas pay har aayinay ko jor raha hun

Es aas pay har aayinay ko jor raha hun
shayad koyi reza mere chehre ka pata dy

Ehsas mein shadeed talatum k bawajood

Ehsas mein shadeed talatum k bawajood
chup hoon mujhe sakun mayassar ho jis tarah

Ehsas bhi na tha k hai pathar badan mera

Ehasa bhi na tha k hai pathar badan mera
haan doobna para hai ubharnay ki aas par

Ajnabi se nazar aaye tere chehre k naqoosh

Ajnabi se nazar aaye tere chehre k naqoosh
Jab tere husan pay mein nay nazar saani ki

Ujar gayi hai meri kaaiynaat dil phir bhi

Ujar gayi hai meri kaaiynaat e dil phir bhi
Meri nigah mein aabad ik jahan saa hai

Uthein gein aur bhi tufaa'n mere dil se

Uthein gein aur bhi tufaa'n mere dil se
daikhun ga abhi ishq k khuwab aur bhi ziyada

Utho sitam zado chalein ye dukh

Utho sitam zado chalein ye dukh karra sahi magar
wo khush naseeb hai ye zakham jis ko raas aa gaya

Itni murawatein no kahan dushmano mein thein

Itni murawatein no kahan dushmano mein thein
yaaro nay jo kaha mere mun par nahi kaha

Itni fursat bhi kissay hai lekin

Itni fursat bhi kissay hai lekin
Gaahay gaahay hamein poocha kijiye

Utar rahi hein ajab khubuein

Utar rahi hein ajab khushbuein rag o pay mein
ye kis ko choo k mere shehar mein saba aayi

Apnay he sar k zakham ka kuch

Apnay he sar k zakham ka kuch kijiye elaaj
Aaya hai kis taraf se ye pathar na daikhiye

Apnay hathon ki lakeeron mein basa lay mujh ko

Apnay hathon ki lakeeron mein basa lay mujh ko
mein hun tera tu naseeb apna bana lay mujh ko

Apnay rastay howe zakhmon pay

Apnay rastay howe zakhmon pay chirak leta hun
raakh jharti hai jo ehsas k angaro'n se

Apnay apnay bewafaon nay hamein yakja kiya

Apnay apnay bewafaon nay hamein yakja kiya
warna mein tera nahi tha aur tu mera na tha

Saturday, 7 February 2015

Aur muhabbat wohi andaz puranay mangay

Apna ye haal k jee haar chukay lutt bhi chukay
aur muhabbat wohi andaaz puranay mangay

Apna kaam hai sirf muhabbat

Apna kaam hai sirf muhabbat baaqi es ka kaam
jab chahay wo roothay hum se , jab chahay mann jaye

Abhi na cher muhabbat k geet

Abhi na cherr muhabbat k geet ay mutarab
abhi hayat ka mahol khushgawar nahi

howi na dard mein phir bhi kami

Abhi to hum nafson ko hai weham chara gari
howi na dard mein phir bhi kami to kya ho ga

Abhi to wada o pemaan hein

Abhi to wada o pemaan hein aur ye haal apna
wisaal ho to khushi se he mar na jayein kahin

Abhi abhi wo gaye hein magar

Abhi abhi wo gaye hein magar ye aalam hai
Buhat dino se wo jaisay nazar nahi aaye

Ab ye he dukh hai hum mein thi kami

Ab ye he dukh hai hum mein thi kami os mein na thi
Os ko chaha tha magar apni tarah chaha na tha

Ab ye samjayein bhi kisi ko

Ab ye samjayein bhi kisi ko k teri chahat mein
jaan he nikli hai armaan to kya niklay

Ab wo kisi bisaat ki fehrast mein nahi

Ab wo kisi bisaat ki fehrist mein nahi
jin manchalon nay jaan laga di thi daao par

Ab k bichre to na pehchan sakein gein chehre

Ab k bichre to na pehchan sakein gein chehre
meri chahat tere pindaar ka mar jana hai

Ab k wo dard day k mein roun taman umer

Ab k wo dard day k mein roun tamam umer
ab k laga wo zakham k jeena mahaal ho

Ab khula hai k tera husan tagaful tha karam

Ab khula hai k tera husan tagaful tha karam
gar chey kuch dair tabiyat meri ghabrayi bhi

Ab kisi tor se ghar janay ki soorat he nahi

Ab kisi tor se ghar janay ki soorat he nahi
Raastay mere liye ho gaye daldal ki tarah

Ab such kahein to yaaro

Ab such kahein to yaaro hum ko khabar nahi thi
ban jaye ga qayamat ik waqiya zara sa

Ab zouq talab waja junoo'n thehar gaya hai

Ab zouq talab waja junoo'n thehar gaya hai
ab arz e wafa baais e ruswayi hai

Ab daikh ye hasrat bhari ujri howi aankhein

Ab daikh ye hasrat bhari ujri howi aankhein
duniya tere baray mein mere khuwab buhat they

Ab dil mein kya raha hai

Ab dil mein kya raha hai teri yaad ho to ho
ye ghar isi chiragh se aabad ho to ho

Friday, 6 February 2015

Ab teri zaroorat bhi buaht kam hai meri jaan

Ab teri zaroorat bhi buhat kam hai meri jaan
Ab shouq ka kuch aur he aalam hai meri jaan


Ab bhi barsaat ki raaton mein

Ab bhi barsaat ki raaton mein badan toot'ta hai
Jaag uthti hein ajab khuwaishein angrayi ki

Ab bhi in yadon ki khushbu

Ab bhi in yadon ki khushbu zehan mein mehfooz hai
baarha hum jin se gulzaron ko mehkanay gaye

jo chor dil mein chupa tha

Ab ahtiyat ki deewar kya uthatay ho
jo chor dil mein chupa tha wo kaam kar bhi gaya

hum inhein aayina dikha k rahay

Apni soorat bigar gayi lekin
hum inhein aayina dikha k rahay

Aaya he tha abhi mere lab par wafa ka naam

Aaya he tha abhi mere lab par wafa ka naam
kuch doston nay hath mein pathar utha liye

aankhon mein dheere dheere

Aankhon mein dheere dheere , tarkay puranay gham
palkon mein nanhay nanhay sitaray piro gaye

Aankh rakhtay ho to

Aankh rakhtay ho to es aankh ki tehreer parho
mun se iqrar na karna to hai aadat es ki

Aa k ab tasleem kar lein

Aa k ab tasleem kar lein tu nahi to mein sahi
kon manay ga k hum mein bewafa koyi nahi

Aaj najanay raaz ye kya hai

Aaj najanay raaz ye kya hai
hijar ki raat aur itni roshan

aaj ka din b dar o baam ko taktay guzra

Aaj ka din bhi dar o baam ko taktay guzra
Aaj ki raat bhi ankhon mein ganwa di jaye

aaj to mera dil kehta hai

Aaj to mera dil kehta hai
tu es waqt akela ho ga

Aaj insan ka chehra to hai sooraj ki tarah

Aaj insan ka chehra to hai sooraj ki tarah
rooh mein ghor andheray k siwa kuch b nahi

aatay aatay younhi dam bhar ko ruki hogi bahaar

Aatay aatay younhi dam bhar ko ruki hogi bahaar
jatay jatay younhi pal bhar ko khizaan thehri hai 

aap he to nahin magar dil mein

Aap he to nahin magar dil mein
aik tasweer aap ki see hai

ye khula mujh par , talab ka khoon baha daitay howe

aap apnay qatal mein shamil tha mein maqtool shouq
ye khula mujh par , talab ka khoon baha daitay howe

Wednesday, 4 February 2015

Tuesday, 3 February 2015

Gham ki es sil ko kabhi bhi samaj na paye gi (wasi shah)

Gham ki es sil ko kabhi bhi na samaj paye gi
Tu mere dil ko kabhi bhi na samaj paye gi

Mujh ko tasleem teri saari zahanat lekin
Mujh se jahil ko kabhi bhi na samaj paye gi

Pooch ly mujh se haqeeqat tu wagarna apnay
Aankh k til ko kabhi bhi na samaj paye gi

Bin muhabbat k tu hansti howi in aankhon ki
Bheegi jhilmil ko kabhi bhi na samaj paye gi

Zindagi khud bhi tujhay marna paray ga warna
Mere qatil ko kabhi bhi na samaj paye gi

zakham muskuratay hein ab bhi teri aahat par (wasi shah)

Zakham muskuratay hein , ab bhi teri aahat 
Dard bhool jatay hein, ab bhi teri aahat par

Shabnami sitaron mein phool khilnay lagtay hein
Chaand muskuratay hein , ab bhi teri aahat par

Umer kaat di lekin bachpana nahin jaata
Hum diye jalatay hein , ab bhi teri aahat par

Ghentiyan c bajti hein raqs honay lagta hai
Dard jagmagatay hein , ab bhi teri aahat par

Teri yaad aaye to neend jaati  rehti hai
Khuwab toot jatay hein , ab bhi teri aahat par

Jo sitam karay aa kar sab qabool hai dil ko
Hum khushi manatay hein , ab bhi teri aahat par

Ab bhi teri aahat par chaand muskurata hai
Khuwab gungunatay hein , ab bhi teri aahat par

Tere hijar mein hum par ik azaab taari hai
Chonk chonk jatay hein , ab bhi teri aahat par

Dastakein sajanay k muntazir nahin rehtay
Raat sajatay hein , ab bhi teri aahat par

Ab bhi teri aahat par aas lout aati hai
Hum diye jalatay hein , ab bhi teri aahat par

Sunday, 1 February 2015