Tuesday 30 December 2014

Where the sidewalk Ends

There is a place where the sidewalk ends
And before the street begins,
And there the grass grows soft and white,
And there the sun burns crimson bright,
And there the moon-bird rests from his flight,
To cool in the peppermint wind.

Let us leave this place where the smoke blows black,
And the dark street winds and bends,
Past the pits where the asphalt flowers grow,
We shall walk with a walk that is measured and slow,
And watch where the chalk-white arrows go,
To the place where the sidewalk ends.

Yes we'll walk with a walk that is measured and slow,
And we'll go where the chalk-white arrows go,
For the children, they mark, and the children, they know
The place where the sidewalk ends.

Phenomenal Woman

Pretty woman wonder where my secret lies.
i'm not cute or built to suit a fashion model's size
But whein i start to tell them,
They think i'm telling lies.
I say,
It's in the reach of my arms
The span of my hips,
The stride of my step,
The curl of my lips.
I'm a woman
Phenomenally,
Phenomenal woman, 
That's me.

I walk into a room
Just as cool as you please,
And to a man,
The fellows stand or
Fall down on their knees.
Then they swarm around me,
A hives of honey bees.
I say,
It's the fire in my eyes,
And the flash of my teeth,
The swing in my waist,
And the joy in my feet,
I'm a woman
Phenomenally
Phenomenal woman,
That's me.

Men themselves have wondered
What they see in me
They try so much
But they can't touch
My inner mystery
When i try to show them
They say they still can't see
I say
It's in the arch of my back,
The sun of my smile,
The ride of my breasts,
The grace of my style,
I'm a woman

Phenomenally,
Phenomenal woman,
that's me.

Now you understand
Just why my head's not bowed.
I don't shout or jump about
Or have to talk real loud.,
When you see me passing,
It thought to make you proud,
I say,
It's in the click of my heels,
The bend of my hair,
The palm of my hand,
The need of my care,
Cause i'm a woman
Phenomenally,
Phenomenal woman,
That's me.



Monday 29 December 2014

Ikhtitam e December

Aao lipat jao  mere seene se k Ikhtitam e december hai

Kaheen ye sard hawa tumhein bemaar na kar day




Megha kalay , kalay megha

Megha kalay , kalay megha
Kahan kahan bhatkay phirtay ho
Kin sotan bharmaye li tum ko?


Dheela dheela khait gorr k
Aur biyaj pay beej utha k
Sonch rahay they sawan mein na aaye to bhaado aao gy
Door ufaq se aatay to daikha tha hum nay
Aur aakash pay chartay b daikha tha , koi laathi aur langot
Pehan k haank raha tha
Beech dagar mein kahan gaye tum , Kalay megha?
Kon they wo jo taaga bandh k nathni mein
Aur kaheen ko 'hainch' k ly gaye!


Jatay jatay , kalay megha , tum ne neeche daikha tha kya?
Mera gaaon wesay he sookha hai ab tak
Nadi to keech ki bheegi pagdandi lagti hai
Nayya kaisay thelein es mein?
Kunwan undelein nadya mein , ya nadya lawein kunwein k mukh tak
Dono piyasay ik doosray ka mun taktay hein!
Kalay megha


Chakki kya peesay , kya bantay
Aaata ly jata hai banya
'Dhanya' ko cho kar milta hai
'Punya' apni naslein ly kar
Khait ki mendh pay beth gayi hai
Bachay to ghar ki kheti hain , bandhwa rakh k
Joh ki tokri mil jati hai!
'Nain' ka chora baap k sang darya bunta hai
'Roopa' jangal mein sookhi lakri chunti hai


Tain nay ye b daikha ho ga
Shehar ko chapay marnay ki aadat hai , megha
Shehar daketi karay to bachay jaib mein bhar k ly jata hai
Bachay bik jatay hein jaisay rerhi par bhuttay biktay hein


Megha tum bin oonchi aatari daikh k ghan barsaty ho ab
Oonchay paharon ki barfon se kyun ja takratay ho ?
Ye barfein kab pighli hein
In k paon talay se paani behta hai jab
Mere gaon talak aatay aatay kuch log kadalon se
Kaat k ly jatay hein paani!
Mere khait ki piyas nahi jati megha
Kab tak aous ki boondon se mein apni piyasi khaiti senchun?
Megha kalay , Kalay megha!

Barish aati hai to

Baarish aati hai to mere shehar ko kuch ho jata hai

Teen ki chat , tharpal ka chajha , peepal , pattay , parnala

Sab bajnay lagtay hein


Tang gali mein jatay jatay

Cycle ka pahiya pani ki kuliyan karta hai

Baarish mein kuch lambay jo jatay hein qad b logon k

Jitnay ooper hein , Itnay he pairon k neeche pani mein 

Ooper wala tairta hai to neeche wala doob k chalta hai



Khushk tha to rastay mein tak tak chatri tek k chaltay they

Baarish mein aakash pay chatri tek k tip tip chaltay hein!

Barish hoti hai jab

Barish hoti hai jab

To in garay pathar ki deewaron par

Bheegay bheegay naqshay ban'ny lagtay hein

Hichki hichki barish tab pehchani si aik likhayi lagti hai

Barish kuch keh jati hai



Aisa he ashkon se bheega

Ik khat shayad , tum ne pehle daikha ho!

Sardi thy aur kohra tha

Sardi thy aur kohra tha aur

subah ki bas aadhi ankh khuli thi , aadhi neend mein thy

Shimla se jab neeche aatay

Aik pahari k konay mein

Bastay jitni basti thi aik

Batway jitna mandar tha

Sath lagi ik masjid , Wo b locket jitni

Neend bhari do banhon jaisay masjid k meenar

Galay mein mandar k

Do masoom khuda soye they

Aik boorhe jharnay k neeche!

Dono ik sarak k aar paar chal rahay hein hum

   Dono ik sarak k aar paar chal rahay hei hum!

Os taraf se osne kuch kaha jo mujh tak aatay aatay

Raastay k shor o ghul mein kho gaya

Mein ne kuch isharay se kaha magar

Chaltay chaltay dono ki nazar na mil saki



Ose mughaalta hai mein

Oski justaju mein hun

Mujhe ye shak hai ' wo kahin

Wo na ho' Jo mujh se chupta phirta hai!

Sunday 28 December 2014

Kabhi aana paharon par

Kabhi aana paharon par
Dhuli barfon k namday daal kar aasan bichaye hein
Paharon ki dhalano par buhat se janglon k khaimay khainchay hein
Tanabein baandh rakhi hein kayi devdar k mazboot pairon se
Palaash aur gul muhar k, hathon se kaarhay hue takiye lagaye hein
Tumharay raston par chaon chirki hai
Mien badal dundta rehta hun
K gehri waadiyan khali nahi hoti
Ye chilman barishon ki b utha dun ga ' jab aao gy


Mujhe tum ne zameen di thy
Tumharay rehne k qaabil yahan ik ghar bana dun mein
Kabhi fursat milay jab baaqi kamon se to aa jana
Kisi weekend par aa jao!!!

Thiek se yaad nahi

Thiek se yaad nahi
France mein 'bordu' k pas kahin
Thori si dair rukay they
Chotay se qasbay mein, aik chota sa lakri ka girja
Samanay "Aaltar k" bench tha
Aik he shayad

Bheer uthaye hue ik eesaa ki chobi moorat!
Logon ki shamon se
paon kuch jhulsay hue
Pighli hui mom mein kuch doobay hue
Jisam par mekhein lagi thi
Aik kandhay par thi , jorr jahan khulnay laga tha
Aik nikli hui pehlu se jisay bheer ki taang mein se thok diya tha
Aik kohni k zara neeche jahan toot gayi thi lakri
Gir k shayad
Ya safai kartay hue!

Duayein phoonktay rahay

Khayal ko wajood dy k , es ko dhoondtay rahay
Wajood jo khayal tha!
Duayein phoonktay rahay, dhuein mein hum
K aag k lipat uthey to tham lein
Osay tumhara naam dain

Paharon ki ghufaon mein 
Kisi nay justaju jala k rakhi thy
Aur intizar k liye
Samay ki intiha hata k rakhi thy
Ibadatein tarashin pathron pay aur ghar bana liye khayal ki panah k liye
bus aik umeed k gunah k liye!

Tamam shab jali hai shama hijar ki
Umeed b bachi hai to bas itni
Jitni aik baanjh ki kokh ko umeed ho!!

jazbaat

Log lehjon mein chupa laitay hein jazbaat apnay

Ankhein parhnay ka hunar seekhna zaroori hai



Jaal

Waqt jaisay khalaa mein tehra tha

Sab he aa aa k es mein phanstay rahay

Jaal goya koi sonehra tha


************************************


Muahabbat

Muahabbat b to ik aatish fishan hai

Ye phat'ta hai to phir es se nikalnay wala laawa

Dilon k beech behta hai

Ye laawa aankh se ho kar guzarta hai

Jahan jata hai ye

Jalnay ki shiddat aur barhti hai

Muhabbat aur barhti hai

Yahi laawa kabhi jab sard parta hai

Zameen dil ki bari zarkhaiz kar daita hai es dam

Magar phir b tapish eski

Hamesha baaqi rehti hai


Mere andar ka insaan dar gaya hai

Marwat mein tere dar par gaya hai
Wagarna kon kis k ghar gaya hai

Hawadas zindagi mein aisay aaye
Mere andar ka insaan dar gaya hai

Ye kya munsif hein? kaisay faislay hein?
Jahan katni thy ungli , sar gaya hai

Ghulami khuwaishon ki kar rahay hein
Zamana kya taraqi kar gaya hai

Intibah

Kaha nahin tha
K meri aankhon ki putliyon mein
Jo khuwab hein aagahi k
Inhein na chero
Wo khuwab daikho bikhar gaye hein
Kaha nahin tha
K maan jao
Ana ka jangal buhat ghana hai
Jo es mein bhatka wo phir na louta
Suno! darinda e tawaqo
Mein apni masoom khuwaishon ko
Khud apnay hathon se maar dun ga
Mein tum se kuch b nahi kahun ga
Kaha nahi tha!
Dabi howi raakh na koredo
K mera maazi jali hui raakh he hai jaana!
Jo ooper se bujh gayi hai
Magar tapish eski ab b aisi k jis ki hiddat
Har aik munjamid ko jala k rakh dy
Kaha nahi tha!
K aarzuein nahi jagao
Yahan pay kya hai, k jis ko keh dein
K es par hamari dastaras hai
Na khuwab he aur na he haqeeqat
Jo khuwab diakhay bikhar gaye hein
Wo khuwab nasoor ban gaye hein
Kaha nahi tha!
K khuwab zindagi hein
To mere khuwabon se tum na khelo
So tum ne ye b kabhi na socha
k Aagahi k azaab b hein
Jo rog hein zindagi k
Wo khuwab he hein
K ab basarat to chin gayi hai
Magar chand khuwba reh gaye hein
So ab mujhe in bay basarat aankhon mein khuwab rakh kar b kya milay ga?

Bhool jaoun ga agar zinda raha

Jaz tere phir kon tabinda raha
Haan muhabbat ki to mein zinda raha


Aur kya karta bajaz maaafi talab
Apni nadani pay sharminda raha


Jao meine kar liya wada tumhein
Bhool jaoun ga agar zinda raha

Dard

Mein ne kab mehsoos kiya tha itna meetha meetha dard
Dil k andar tuj se pehle dil k andar tere baad
Mujh ko to bynoor lagay hein chahay jitnay roshan hon
Saaray manzar tujh se pehle saaray manzar tere baad

Buaht masoom hein tumhari aankhein

Jahan mein dhoom hein aankhein tumhari
Buhat masoom hein aankhein tumhari

Mein in ko diakh k pathra gaya hun
Bari maghmoom hein aankhein tumhari

Kahan dhoondhun? mein khud ko janta hun
Mujhe maloom hein aankhein tumhari

Ye duniya aik taraf, tum ik taraf
So kab maadoom hein aankhein tumhari

Mein jo kuch sochta hun sab hai in mein
Mera mafhoom hein ankhein tumhari

Qitaa

Meri har baat ki nafi kar k
Faislon mein daraar dali hai
Mujh ko bas rad nahi kiya tum nay
Meri hasti bigaar dali hai



Kya mera haal poochtay ho tum

Kya mera haal poochtay ho tum?

Kya bataoun mein dil ki bat tumhein?

Mustakil aik azaab hai, mein hun

Meri aankhon mein khuwab hai, mein hun

Khuwab ka aik he hawala hai

Jo mere jisam se hai rooh talak

Ab meri rooh mere jisam k sath

Khel karnay pay utar aayi hai

Khuwab

Pathron mein gulab rehta hai
Meri aankhon mein khuwab rehta hai


Kaaran

Sabhi kuch hai yahan par!
Magar ik tum nahi ho
Tumharay aik na honay k kaaran
Yahan kuch b nahin hai

talaash

Neelgun aasman ki wussat hai
Aur apni talaash mein hun mien


bari ulfat se nafrat poochta hai

Bari ulfat se nafrat poochta hai
Wo tanhayi ki babat poochta hai

Nahin kehta hai dil ki baat apni
Meri mujh se nihayat poochta hai

Mein chahun b to es ko kya bataoun
Muhabbat ya marwat poochta hai

Meri aankhon mein parh k azam o himmat
Mere jazbon ki nisbat poochta hai

Kabhi rehta hai mujh se pehron shaaki
Kabhi mujh say shikayat poochta hai

Shakeel es aadmi ko yaad rakhna
K jo waqt e zaroorat poochta hai

Qitaa

Zindagi ki gaari kok khud dhakail sakta hun
Aaayein jitany gham sab he jhail sakta hun
Ye b dhiyan mein rakhna tum agar khilaari ho
Mein b aik khilaari hun mein b khel sakta hun

Khamoshi

Chup k parday mein khari khamoshi
Raat se khoob lari khamoshi

Aag nas nas mein piro day gi ye
Apni zid pe jo arri khamoshi

Chup zehar phel gaya ang ang mein
Dard raton se bari khamoshi

Aag lafzon mein zehar lehjay mein
Kis nay daikhi hai karri khamoshi

Mujh ko lagta hai k ab ro day gi
Aik konay mein pari khamoshi

Samandar jheel kaisay ho

Khalaa nazdeek aa poucha hai ab to
Ye duniya b simat'ti aur sukarti ja rahi hai
Mein hun aik tashna lab sehra
Aur tum aik samandar ho
Bhuja do piyas ko meri!
Kabhi milnay ko aao to!
Tumhara sab namak aur har kasafat jazab kar lun mein
Tumhein wapis na janay dun
Tumhein tabdeel kar dun mein
Samandar jheel kar dun mein
Nahi ho tum to khud socho
Meri takmeel kaisay ho 
Samandar jheel kaisay ho

Mukhtasir nazmein

Roshini ki daleel kya hoti?
Zindagi k liye jo mangi gayi!!!
Aur koi sabeel kya hoti?

********************

Aik safar se aaya hun aur aik safar ko jana hai
Kuch arsa to sath chalo
Phir to sab ko apni apni rah guzar par jana hai

**********************

Dil k andar chor
Mere andar jaag utha hai
tanhayi ka shor


*************************

Tum ho meri jaan

Tum ho meri jaan
Saath tumharay rehna chahun
Aik yahi armaan



kantay aur babol
Tum bin mera jeevan jaisay
Sehraon mein dhool



Chodveen raat ka chand
Jab se tum ko daikha jaana!
Mujh ko laga hai maand!


Jaan tum par nisaar kar dekhein

Hum andheray se pyar kar dekein
Aao phir aitebaar kar dekhein

Zindagi kitni khubsurat hai
Zindagi ko guzar kar dekhein

Tere inkaar par nahi moqoof
Jeet ko aaj haar kar dekhein

Zakham gin'nay se laakh behtar hai
Chahton ka shumar kar dekhein

Es se tum ko yaqeen aajaye
Jaan tum par nisaar kar dekhein

Qitaa

Khayal e yaar meinhum zeest guzaray howe log
Ajeeb zakham banay jaan se pyaray howe log
So es k dar k siwa aur koi dar he nahin!!
Bata k jayein kahan dard k maray howe log

Saturday 27 December 2014

Mout chaho to zindagi rakhna

Apnay honay ki aagahi rakhna
Meri maano to roshni rakhna

Har dua ka tazaad milta hai
Mout chaho to zindagi rakhna

Apni tehreer mein asar chaho
Apnay lehjay mein saadgi rakhna

Jab mayassar na ho sharab tumhein
In ki aankhon se jaam pee rakhna

Tum se meri nabhi nahi na sahie
Sab se rakhna hansi khushi rakhna

Jin ki fitrat ho sirf achayi
Aisay logon se dosti rakhna

Muhabaton pay abhi aitebar rehne do

Dilon mein pyar gulon pay bahar rehne do
Muhabaton pay abhi aitebar rehne do

Ye mosamon ki karri dhoop dhal b sakti hai
Abhi se sood o ziyaan ka shumar rehne do

Mein ishq paisa hun soorat gari hai shouq mera
So mere wastay ye rozgaar rehne do

Utar chuka hai nasha ab to sirf  yadein hein
Wo qaafla to gaya b ghubaar rehne do

Mein gham zada to nahi hun Ye meri aadat hai
So thori dair abhi sogwaar rehne do

Dard mein doob gayi shaam pas e tanhai

Dard mein doob gayi shaam pas e tanhai
Aur hum b rahay nakam pas e tanhai

Koi ruswayi si ruswayi hui thy apni
Hum nay khud ko kiya badnam pas e tanhai

Aik hum he they azadar e junoon e ulfat!
Aur hota b kya anjam pas e tanhai

Pehli manzil se palat aaya tha mein to warna
Aazmaaish thy har ik gaam pas e tanhai

Aik hum he to nahi zer o zabar duniya mein
Dagmagatay hein dar o baam pas e tanhai

Khud ko dhoka diya sada meine

Ye tamasha ajab kiya maine
Khud ko mushkil bana liya maine

Roshni ki sabeel kar li hai
Raah mein rakh k ik diya maine

Koi mujh ko fareb kya dy ga
Khuwaishon ko sula diya maine

Tum nay aankhon mein tha utara gham
Aur dil se laga liya maine

Kon dy sakta hai fareb miyaan
Khud ko dhoka diya sada maine

Khuwab khush fehmi nahin ho saktay

Khuwab khush fehmi nahi ho saktay
Ye to wo rahguzar hein jin par
Baarha irtiqa guzarta raha
Ilam ki aankh daikh sakti hai
Soch ki wusat e khayal hein kuwab
Khuwab khush fehmi nahi ho saktay
Khuwab aahat hein in takazon ki
Jis se tameer k dar wa ho jayein
Azam hai gar, Buaht faaul hein khuwab
Khuwab khush fehmi nahi ho saktay

Ab zulf mujhe daikh k lehrayi buhat hai

Dil ko tere lehjay ki pazeerayi buhat hai
Hum ko to ye andaz masehayi buhat hai

Go lafz hein saada magar itne nahi saada
Socho to meri baat mein gehrayi buhat hai

Tanhai pasanad log mujhe kehnay lagay hein
Tanhai mein b anjuman aarayi buhat hai

Pehle teri aankhon nay kiya mujh ko pareshan
Ab zulf mujhe daikh k lehrayi buhat hai

Suno jaana

Suno jaana!!!
Kya do ghari pyar ki karein batein??
Dil dukhanay ko umer saari hai!

Aankhein

Taman raat yunhi dekhein gi soo e dar aankhein
Tujhay ganwaa k na soyein gi umar bhar aankhein!!

Wada

Teri majburiyan durust magar
Tera wada tha
Yaad rakhnay ka

Karwatein

Shouq se badlo par ye zehan mein rkhna!!!
Hum jo badlay to karwatein badaltay reh jao gy

Alvida

Jis k milnay k muntazir they hum aik arsay se
Faraz
Kamaal ka shakhs tha, aaya b to alvida kehnay

Mohababt Dairaay ka safar ..

Jahan sy chale thy wahin aa gaye hain 
Mohabbat bhi ik Dairaay ka safar hai .

Dil ki ha-lat ..

Bari Ajeeb si Haa-lat hoti hai is Mohabbat me Dil ki ..
Udaas jab bhi yaar ho, Qasoor apna hi lagta hai :( .. !!

Suno tum loat aao

Bohat Takleef Deti Hein Teri Yaadein Wo Sub Baatein",...!
Faqat Itna Hi Kehna Tha K Tum Lout Aao To Acha Hy...!!!


Nigaah me dusra koi ..

Nigaah me dusra koi aa hi naa paya ..
Bharosa hi kuch aisa tha Tere Loat ane ka 


Tera sath Nahi ...

Zawal yeh hai k tere sath nahi ..
Kamal yeh hai k phir b jee rahe hain ..

Mere sang na chalna tha ??

Karay safer main agr rasta badalna tha ..
Toa ibtida main meray sath hi na chalna tha ..


End of December ..

Qasoor Dil Ka, Bani Aankh Samander,,,!!!

'Saza Ishq Ki Badnam December,,,!!!


zidnagi ka akhri jazeera ..

suno ...

Tum Meri Umar K Samandar Mein,,,,
Zindagi Ka Aakhri Jazeera Ho,,,,,,,,,!!

Mohabbat ab b baqi hai ..

Ana Ki Baat Hai Warna Mohabbat Ab B Baki Hai
Usay Meri Mjhe Uski Zarorat Ab B Baki Hai....!


Tumhare Bina ...


Aao Aik Shab ...

Aao ik shab guzarin youn b 
K 2 dharkanain 1 ho jayen ..

December Ki Sardiyan ... !!

Yadon ki shaal orh kr ..
Awara gardiyaan

Kaati hain youn bhi hum ne
November, December ki sardiyaan ...

Pehli Mohabbat

Pehli Mohabbat 
aksar yaad ati hai ..

December ki 
Tanha Shamoon me ..

Khaat ka Jawab .. !!

Woh aik khat jo tu ne kabhi likha hi nahi ..
Main Rooz Baith k us ka jawab likhti hon ..

Muj sy Mohabbat krti hai ..

Dosron k Diye howey zakham bhi bharti hai ..
Ek Masoom si Larki Mujh sy bari Mohababt krti hai ..

Meri zindagi !! ..

Meri Zindagi , Meri Had ..
Bas !! ...
Tum Se, Tum taak ...

Q Khwab me mere !!

Phir Neend Se Jaag Kar Idhar Udhar Dhondta Hoon Tmhe,

Q Khawaab Main Mere Itne Qareeb Chale Aate Ho Tm.

Friday 26 December 2014

Ye saal b aakhir beet gaya

Ab yaad dilayein kya tumko
Ye saal b aakhir beet gaya

Aur apna to koi dais nahi
Ye baazi b jag jeet gaya

Wo sard hawaein ab b hein 
Rangeen fizaein ab b hein

Wo bheegay bheegay pani ki
Pur shore sadaein ab b hein

Mein jab b udhar ko jata hun
Aur dil apna sulgata hun

Ab tum nahi hotay saath mere
Hotay hein khali hath mere

Pur shore sadayein poochti hein
Wo sard hawayein poochti hein

Wo kahan gaya saathi tera
Kya phir ye zamana jeet gaya

Ab yaad dilayein kya tum ko
Ye saal b aakhir beet gaya


Thursday 25 December 2014

Mere sath mein jab tu chalnay lagta hai

Mere sath mein jab tu chalnay lagta hai
Aik rawaiya roop badalnay lagta hai

Meri baat pay hanstay ho tum aas diya
Man mandar mein kuhd he jalnay lagta hai

Khuwabon mein deewar dikhayi daiti hai
Tabeeron ka sooraj dhalnay lagta hai

Roshan aankhein bujhnay lagti hein jis dam
Ho kar bay bas hath wo malnay lagta hai

Hum they azaad par muhabbat nay

Aur kuch din isay tu jhail miyan
Zindagi hai nahi hai khel miyan

Aur daikhein kahan pay ly jaye
Itni paisay ki rail pail miyan

Koi umeed hum se mat rakhna
En talon mein nahi hai tail miyan

Hum they azaad par muhabbat nay
Naak mein daal di hai naakel miyan

Kisi din

Meri aankhon mein bas jao kisi din khuwab ki soorat
Buhat din ho gaye hein jagtay! Mein so nahi paaya
Udasi k bhanwar mein raasta b ho nahi paaya
Sulagti dhoop mein tabeer ka saaya nahi daikha
Buaht din ho gaye hein chandni mein ro nahi paaya
Mere dil mein b utro tum shab e mehtaab ki soorat
Meri aankhon mein bas jao kisi din khuwab ki soorat
Meri es bay yaqeeni ko koi b naam tum day do
Gumaan , andesha ya phir koi b ilzaam tum day do
Ik aisi shaam jis k baad tum meri raho ban kar
Agar kuch day sako to mujh ko aisi shaam tum day do
meri nas nas mein ghul jao kabhi seemaab ki soorat
Meri aankhon mein bas jao kisi din khuwab ki soorat


Kon tera hai kon mera hai?

Chaar soo wehshaton ka dera hai
Kaisay mosam nay aan ghera hai

Aap miltay rahein to behtar
Chaar din ka yahan basera hai

Apni apni lagan mein sab gum hein
Kon tera hai kon mera hai?

Teri yadon  k jugnuon ki qasam
Zindagi mein buhat andhera hai

Raah rokay howe hai Khud dari
Mere har rastay mein pehra hai

Ye aankhein jheel kar do

Mujhe habeel kar do
Koi taweel kar do

Adhoora hun mein tum bin
Meri takmeel kar do

Badal do khud ko warna
Mujhe tabdeel kar do

Muhabbat reh andheri
Wafa qandeel kar do

Mein dooba chahta hun
Ye ankhein jeel kar do

Mehboob se shikwa

Kabhi taqdeer ka matam kabhi mehboob se shikwa
Ay manzil e muhabbat tere har mor pay rona aaya

Dard

Kon kehta hai nafraton mein dard hai mohsin
Kuch muhabbatein b bari aziyat naak hoti hein

Muhabbat kis ko kehtay hein

Jab bikhray ga tere rukhsar pay teri aankh ka pani
Tujhe ehsas tab hoga muhabbat kis ko kehtay hein

Umeedein

Wabasta ho gayi thein kuch umeedein aap se
Umeedon ka chiraagh bujhanay ka shukriya

hairan

Mein khud hairan hun apne sabar ki intiha daikh kar
Tum nay yaad karna chor diya mein ne intizar karna nahi

koocha e ishq

Ilm o hikmat ka jinhein ho shouq aaye na idhar
Koocha e ishq mein kuch b nahi hairat k siwa

Mosam

Osi jaga par khara hun jahan wo bichara tha
Suna hai jab se k mosam palat k aatay hein

Hamein tum se muhabbat hai

Jo baat hum keh nahi saktay ose hum farz kartay hein
Chalo hum farz kartay hein hamein tum se muhabbat hai

Teri bazam se

Uth kar to aa gaye hein teri bazam se magar !
Kuch dil he janta hai k kis dil se aaye hein

Muhabbat he to ki hai

Ibn e adam hun khataon se mubbara to nahin hoon
Hangama sa kyun barpa hai muhabbat he to ki hai

Aansu

Ik aansu keh gaya sab haal  dil ka
Mein smajhi thi ye zalim bay zuban hai

Fana

Mein fana ho gaya wo badla phir b nahi 
Meri chahat se b suchi thi nafrat oski

Haar jeet

Sikka bana kar jab b uchala gaya mujhe
Mein teri haar jeet mein taqseem ho gaya

Qaatil mera

Sab k honton par tabassum tha mere qatal k baad
Janay kya soch kar rota raha qatil mera

Jazbat machal jatay hein

Kalaii na pakra karo , , ,  Na he pass aaya karo
Baat chooriyon ki nahi , , Jazbat machal jatay hein

Neem hijabi

Khul k aa samnay , ya saaf gira dy chilman
Qatal karti hai teri neem hijabi mujh ko

Mout

Tujhe bhoolnay ko ik pal chahye
Wo pal k jisay mout kehte hein log

Ishq

Ab wahan yaadon ka bikhra hua malba he to hai
Jis jaga ishq nay bunyad e makan rakhi thi

Muhabbat kis ko kehtay hein

Kitabon se dalayal doon ya khud ko samnay rakh doon
Wo muh se puch betha hai muhabbat kis ko kehtay hein

Deewanay

Hamsafar b bichar gaye raastay b kho gaye
Aaye phir na lout kar jo deewanay ho gaye

Oqaat

Baith jata hun khaak par aksar!!
Apni oqaat achi lagti hai,,,,,,,!

Raasta

Tumhari aankhs se dil tak safar karna hai bas hum ko
Ye kitni khoobsurat manzilon ka raasta ho ga