Sunday, 4 January 2015

Zaroori hai to buhat zindagi mein ishq magr

Zaroori hai to buhat zindagi mein ishq magar
Ye jaan lewa zaroorat khuda kisi ko na dy


Mujh ko aik shakhs ne diwana bana rakha hai

Apnay anjaam se waqif hun magar kya karun
Mujh ko aik shakhs ne deewana bana rakha hai


Hum ne tujhe chaha tha aur by intiha chaha tha

Hamara jurm sirf itna tha 
hum nay tujhe chaha tha aur by intiha chaha tha!


Hamein khabar hai muhabbat k sab thikano ki

Hamein khabar hai muhabbat k sab thikano ki
Shareek e jurm na hotay to mukhbari kartay!!



Ay dil bhool ja pagal duniya se

Ay dil bhool ja pagal duniya se dil lagana 
Wafa karo to saza daitay hein khamosh raho to bhula daitay hein


Apni nakami ka ik ye b sabab hai

Apni nakami ka ik ye b sabab hai faraz
Cheez jo b mangtay hein ' sab se juda mangtay hein


Tu mila hai to dar gaya hun

Kuch na tha mere pass khonay k liye
Tu mila hai to dar gaya hun mein


bay ikhtiyar uthtey hein mere qadam udhar

Bay ikhtiyar uthtey hein mere qadam udhar
Halan k os gali mein mujhe kaam tak nahi


Agar ishq karna sawab hota

Agar ishq karna sawab hota yaqeen karo!!
Na tum se hota na hum se hota


Magar aik shakhs hai nadaan mujhe anmol kehta hai

Hazaron aib hein mujh mein ' mujhe maloom bhi hai 
Magar aik shakhs hai nadaan ' mujhe anmol kehta hai


Tum dil ban kar dharaktay ho mere seene mein

Tum dil ban kar dharaktay ho mere seene mein
Yahi aik aas to mujhe marnay nahi daiti



Kuch tu he mere dard ka mafhoom samaj ly

Kuch tu he mere dard ka mafhoom samaj ly
Hansta hua chehra to zamany k liye hai


Kabhi socha b hai tune k aik maghroor si larki

Kabhi socha b hai tu ne k aik maghroor si larki
Najanay kyun tere har hukam ki takmeel karti hai


Itne pyar se chaha jaye to pathar b apne ho jayein

Itne pyar se chaha jaye to pathar b apnay ho jayein
Najanay ye matti k insaan itne maghroor kyun hotay hein


Ehsas to buhat hai osko meri chahat ka

Ehsas to buhat hai osko meri chahat ka
Wo tarpata hai es liye k mein aur b toot kar chahun ose