Wednesday, 21 January 2015

Tumhein to shayad khabar nahin hai (wasi shah)

Tumhein to shayad khabar nahin hai
Mere badan mein tumharay choonay se
Sansanahat si jaagti thi
Wo jam gayi hai
Tumhari awaz meri rag rag mein
Tham gayi hai

                       Tumhein to shayad khabar nahin hai

Magar tumhari haseen poron 
Ki dastaras mein jo hont they
Un gulabi honton ki salwatein
Khushk ho gayi hein

                         Tumhein to shayad khabar nahin hai

K chaand raaton mein
Library ki seerhiyon k udas goshay mein
Tum nay mujh ko buhat muqaddas qarar dy kar
Kaha tha
"Tum meri zindagi ho"

                    Tumhein to shayad khabar nahin hai

Wo lafz ab bhi wahin kahin hein

                      Tumhein to shayad khabar nahin hai

K aakhri roz jatay jatay
Meri ijazat se mere maathay pay
Aik bosa saja gaye they
Meri muhabbat ka pehla aur aakhri asasa
Udas campus ki nehar par bay pinha taqaddus
Liye wo bosa wahin para hai
Tum apnay ghar ko chalay gaye ho
Mein aur ki dastaras mein hun ab
Mere tumharay khayal , sochein ,mijaz tak to badal gaye hein
Magar kabhi tum udhar se guzro
To aaj bhi tum ko dheere dheere
Wo bosa rota sunayi day ga
Meri muhabbat ko pehla aur aakhri asasa
                                        Magar tumhein to khabar nahin hai
                                        Magar tumhein to khabar nahin hai.....!



No comments:

Post a Comment