Wednesday, 21 January 2015

Tumhein to shayad khabar nahin hai (wasi shah)

Tumhein to shayad khabar nahin hai
Mere badan mein tumharay choonay se
Sansanahat si jaagti thi
Wo jam gayi hai
Tumhari awaz meri rag rag mein
Tham gayi hai

                       Tumhein to shayad khabar nahin hai

Magar tumhari haseen poron 
Ki dastaras mein jo hont they
Un gulabi honton ki salwatein
Khushk ho gayi hein

                         Tumhein to shayad khabar nahin hai

K chaand raaton mein
Library ki seerhiyon k udas goshay mein
Tum nay mujh ko buhat muqaddas qarar dy kar
Kaha tha
"Tum meri zindagi ho"

                    Tumhein to shayad khabar nahin hai

Wo lafz ab bhi wahin kahin hein

                      Tumhein to shayad khabar nahin hai

K aakhri roz jatay jatay
Meri ijazat se mere maathay pay
Aik bosa saja gaye they
Meri muhabbat ka pehla aur aakhri asasa
Udas campus ki nehar par bay pinha taqaddus
Liye wo bosa wahin para hai
Tum apnay ghar ko chalay gaye ho
Mein aur ki dastaras mein hun ab
Mere tumharay khayal , sochein ,mijaz tak to badal gaye hein
Magar kabhi tum udhar se guzro
To aaj bhi tum ko dheere dheere
Wo bosa rota sunayi day ga
Meri muhabbat ko pehla aur aakhri asasa
                                        Magar tumhein to khabar nahin hai
                                        Magar tumhein to khabar nahin hai.....!



Ik lamhay mein (wasi shah)

Pehli baar jab os nay meri maa ko ammi jan kaha to
Mujh ko yun mehsoos hua tha
Apna sab kuch chor k jaisay
Ik lamhay mein
Mera sab kuch es nay apna maan liya hai
                                          Mujh ko sab kuch jaan liya hai

Ye dil bhi rooth gaya (wasi shah)

Ye zabt choot gaya to tumhari yaad aayi 
Mein thak k toot gaya to tumhari yaad aayi
Tumharay baad na tha koyi mera , dil k siwa
Ye dil bhi rooth gaya to tumhari yaad aayi

Mujh ko paanay ki chahat mein (wasi shah)

Mere molaa!
Aaj zara es taptay din ko
Thanda kar dy
Chota kar dy
               
                Isay ghata dy
Badal k tukray se keh kar
Barish kar dy
Bondein aayein


            Pon chalay
Aur sooraj guzray jaldi se
Maghrib aajaye

Mere maalik!
Aaj bhi os nay
Meri khatir
Mujh ko panay ki chahat mein 
               
                        Tera roza rakha hai...........!!

Ab jo lotay ho itnay salon mein (wasi shah)

Ab jo lotay ho itnay saalon mein
Dhoop utri howi hai baalon mein

Tum meri aankh k samandar mein
Tum meri rooh k ujalon mein

Phool he phool khil uthey mujh mein
Kon aaya mere khayalon mein

Mein nay jee bhar k tujh ko daikh liya
Tujh ko uljha k kuch sawalon mein

Meri khushiyon ki kaiynaat bhi tu
Tu he dukh dard k hawalon mein

Jab tera doston mein zikar aaye
Thaiss uthti hai dil k chalon mein

Tum se aabad hai ye tanhayi
Tum he roshan ho ghar k jalon mien

Saanwli shaam ki tarah hai wo
Wo na goron mein hai , na Kalon mein

Kya osay yaad aa raha hun wasi
Rang ubhray hein os k gaalon mein

Tuesday, 20 January 2015

Saari raat ki jaagi aankhein (wasi shah)

Saari raat ki jaagi aankhein
College mein kya parhti hon gi ?


Zara sa to tehar ay dil (wasi shah)

Zara sa to tehar ay dil...........!
Abhi kuch kaam baaqi hein
Abhi aangan mein mujh ko motiye k kuch naye poday laganay hein
Abhi un shokh honton k kayi andaz hein jin ko
                                           Mere honton pay khulna hai
Abhi es jisam nay mujh se
Buhat si baat karni hai
Abhi es dil k janay kitnay he gham aisay hein jin ko
Mujhe apnay badan mein rooh mein bharna hai
Es k saath janay kitnay rastay hein
                Ikhathey jin pay chalna hai
Abhi kuch aisay waday hein
K jin ko poora karnay ka kayi barson se lamha he mayyasar aa nahin paya
Abhi wo waqt aana hai
Abhi waday nibhanay hein
Abhi kuch sher aisay hein k jo mein keh nahi paya
Unhein tehreer karna hai
Abhi kuch geet aisay hein k jin ki dhun banani hai
Adhuri si kisi tasweer ki takmeel karna hai
Kayi kaghaz hein wo jin par mere sign zaroori hein
Abhi kuch batein aisi hein k jo barson se
Mere zehan mein thein
Soch rakha tha , osay ik din bataoun ga
                                             Batani hein
Abhi kuch qissay aisay hein k jo os ko sunanay hein
Kayi kotahiyan aisi bhi hein jin par nadamat hai
Osay sab kuch bata kar
Bojh es dil ka ghatana hai
Abhi kuch dair pehle bas zara si dair pehle he
Zara si baat par wo mujh se rootha tha
Zara sa to tehar ay dil
Abhi os ko manana hai
                             Abhi os ko manana hai.........!

Kis kis se waday kiye muhabbat k tun ne...?

Kis kis se waday kiye muhabbat k tu ne...?
har guzarta shakhs tere ghar ka pata poochta hai....!

Monday, 19 January 2015

Mere aangan mein aao (wasi shah)

Mere aangan mein aao....!
Toot'tay pattay to daikho
Mere sab khirkiyon par hijar ka kohra jama hai
Mere darwazon k baazu
Tumharay loutnay ki chah mein shal ho gaye hein
Mere ghar k charaghon ki har ik lo
Dard mein doobi howi hai
Wo daikho thar tarahat been karnay lag gayi hai
Mere takiye pay tehri dhool daikho
Mere bistar ki chadar bay shakan gum sum pari hai
Wo aatishdaan daikho kis tarah soona rakha hai
Wo daikho raat ka khana para hai
ye daikho chai thandi ho sakti hai
Tumharay khat , kitabein , card , tohfay
Mujhe milnay ki khuwaish mein mere charon taraf bikhray howe hein
Wo ik tasweer mere samnay gumsum pari hai
Wo ik konay mein hasrat thak gayi hai so gayi hai
Ye barhti shave ye gadlay sleeper
Mere balon mein furqat jam gayi hai
Mere honton se chup lipti howi hai
Tumharay lams ki hiddat nahin to
Mere poron men sardi tham gayi hai
Tumhara hijar had se barh chuka hai
Mujhe tanhayi chubhnay lag gayi hai
Mein thak kar tootnay wala hua hun
Mein khud se raabtay na tor bethun
Kahin mein hosla na chor bethun
Kahin mein hosla na........................!

Sunday, 18 January 2015

Phir wo campus ki fiza ho , shaam ho (wasi shah)

Phir wo campus ki fiza ho , shaam ho
Hath hathon mein tera ho , shaam ho

Khof aata hai mujhe os waqt se
Raasta na mil raha ho , shaam ho

Kis qadar bay kaif guzray gi wo shaam
Tu mujhe bhoola hua ho shaam ho

Kyun na shiddat se mujhe aaye gaon
Shehar ka banjar pana ho , shaam ho

Ho rahi ho teri tasweeron se baat
Tera khat khola hua ho , shaam ho

Sardiyan , barish , hawa , chay ka cup
Wo mujhe yaad aa raha ho , shaam ho

Dard e gham ki dhund mein lipta hua
qaafla sa chal para ho , shaam ho

Ya ilahi aisay lamhay se bachaa
Wo kabhi mujh se khafa ho , shaam ho

Ik yahi khuwaish na poori ho saki
Tu kalejay sa laga ho , shaam ho

Tumhari yaad se jab bhi wazu nahi karta (wasi shah)

Koyi malal koyi aarzu nahin karta
Tumharay baad ye dil guftagu nahi karta

Koyi na koyi meri cheez toot jati hai
Tumhari yaad se jab bhi wazu nahi karta

Behlawa (wasi shah)

Rishta tor k janay walay
Mujh ko chor k janay walay
Ab ki eid pay
Mujh ko jitnay card milay hein
Un cardon mein 
Sab se piyara
Sab se acha
Pehla card tumhara hai
Mujh ko chor k janay walay
Zara kaho to
Ye kis aur ishara hai........?

Hum ne jo deep jalaye hein , teri galiyon mein (wasi shah)

Hum nay jo deep jalaye hein , teri galiyon mein
Apnay kuch khuwab sajaye hein , teri galiyon mein

Janay ye ishq hai ya koyi karamat apni
Chaand lay kar chalay aaye hein , teri galiyon mein

Tazkira ho teri galiyon ka to darr jata hai
Dil nay wo zakham uthaye hein , teri galiyon mein

Es liye bhi teri galiyon se hamein nafrat hai
Hum nay armaan ganwaye hein , teri galiyon mein

Kyun har ik cheez adhuri si hamein lagti hai
Janay kya chor k aayein hein , teri galiyon mein

Uljhan (wasi shah)

Tera mera rishta kuch aisa uljha hai
Es ko suljhatay suljhatay
Apnay dil ki porein zakhmi kar betha hun
                                       
                                        Rishta shayad sulajh na paaye

Lekin es ko suljhanay ki dhun mein jaana!
Saaray khuwab bhula betha hun

                   Apna aap ganwa betha hun

Sorry (wasi shah)

Ab magar kuch bhi nahin kuch bhi nahin ho sakta
Apnay jazbon se ye rangeen shararat na karo
Kitni masoom ho naazuk ho himaqat na karo
Baar ha tum se kaha tha k muhabbat na karo