Thursday, 29 January 2015

Kis qadar anjan hai ye silsila ishq b

Kis qadar anjan hai ye silsila ishq bhi
Muhabbat to qayam rehti hai magar insan toot jatay hein

Wednesday, 28 January 2015

Bus tumharay liye (wasi shah)

Chandni gungunanay lagi kis liye
Taaray aangan mein aanay lagay kis iye
Kis liye rang mehandi ka khilnay laga
Phool hum ko satanay lagay kis liye

                                         Bus tumharay liye
                                       Bus tumharay liye


Been karti howi aankhein ye pareshan zulfein (wasi shah)

Been karti howi aankhein ye pareshan zulfein
Aur kya chahtey ho os se muhabbat kar k

Ab doosron se pyar karun *wasi shah)

Kab talak tujh pay inhisaar karein
Kyun na ab doosron se pyar karun

Tu kabhi waqt par nahin pouncha
Kis tarah tera aitebaar karein

Lout aao ! (wasi shah)

Abhi kuch bhi nahi badla
darakhton par wohi mosam abhi muskuratay hein
Abhi tak surmayi shaamein hamaray saath roti hein
Abhi tak mere honton par tumharay ahmarein k honton ki khushbu

                                         Raqs karti hai

Abhi tak meri aankhon mein tumharay khuwab hanstay hein
Abhi tak mere hathon par tumhari ungliyon ki naram poron se likhay

                                          Sab haraf zinda hein

Abhi tak mere seenay mein tumhari sans chalti hai
Abhi to raaston par doodhiya peon se parnay walay

                                            Saray naqsh qayam hein

Abhi almariyon mein saray tohfay gungunatay hein
Tumharay khat abhi bhi raat ki tanhayi mein mujh se

                                          Tumhari baat kartay hein

Buhat saal guzray hein .............. Buhat sa waqt beeta hai
Meri chahat nahi beeti.............. Meri himmat nahi guzri
Abhi kuch bhi nahi badla.............. Abhi kuch bhi nahi badla
Agar chaho...... Agar Samjho .....  Meri maano !.......

                                              To lout aao .................!!!

Kis qadar zulm dhaya kartay ho (wasi shah)

Kis qadar zulm dhaya kartay ho
Ye jo tum bhool jaya kartay ho

Kis ka ab hath rakh k seene par
Dil ki dharkan sunaya kartay ho

Hum jahan chai peenay jatay they
Kya wahan ab bhi aaya kartay ho

Kon hai ab k jis k chehray par
Apni palkon ka saaya kartay ho

Kyun mere dil mein rakh nahin daitay
Kis liye gham uthaya kartay ho

Phone par geet jo sunatay they
Ab wo kis ko sunaya kartay ho

Aakhri khat mein es nay likha tha
Tum mujhe yaad aaya kartay ho

Dil ki chokhat pay (wasi shah)

Dil ki chokhat pay jo ik deep jala rakha hai
Tere lout aanay ka imkaan saja rakha hai

Saans tak bhi nahi lete hein tujhe sochtay waqt
Hum nay es kaam ko bhi kal pay utha rakha hai

Rooth jatay ho to kuch aur haseen lagtay ho
Hum nay ye soch k he tum ko khafa rakha hai

Tum jisay rota hua chor gaye they ik din
Hum nay es shaam ko seenay se laga rakha hai

Chain lene nahi daita ye kisi tour mujhe
Teri yaadon nay jo toofan utha rakha hai

Janay walay nay kaha tha k wo loutay ga zaroor 
Ik isi aas pay darwaza khula rakha hai

Tere janay se jo ik dhool uthi thi gham ki
Hum nay es dhool ko aankhon mein basa rakha hai

Mujh ko kal shaam se wo yaad buhat aanay laga
Dil nay muddat se jo ik shakhs bhula rakha hai

Aakhri baar jo aaya tha mere naam  wasi
Mein nay es khat ko kalejay se laga rakha hai

Apna to chahton mein yahi ik asool hai (wasi shah)

Apna to chahton mein yahi ik asool hai
Tera bhala bura hamein sab kuch qaboo hai

Ye umer bhar ka jaagna bekaar he na jaye
Tu naa mila to saari riyazat fazool hai

Khud he kaha tha tu nay meri jaan chor day
Ab chor di to kyun tera chehra malol hai

Ay maa ye meri shohratein meri izzatein
Kuch b nahin hein bas tere qadmon ki dhool hai

Aayi jo teri yaad to aankhein baras pari
Es waqt tere dard ka dil par nazool hai

Ik doosray k wastay dono banay wasi
Guldan mera dil hai teri yaad phool hai

Sunday, 25 January 2015

kabhi Aa......!! Rakh mere dil par hath

Kabhi Aa....!! Rakh mere dil par hath
Aur phir daikh isay apnay naam k sang dharaktay howe


Zindagi thak k girti hai to khayal aata hai

Zindagi thak k girti hai to khayal aata hai
Jaan lewa hai la-hasil ki tamanna karna...!







Utra hai kuch es ada se rugg o jaan mein

Utra hai kuch es ada se rugg o jaan mein
Ik shakhs ne saari hayaat ka naqsha badal diya


Saturday, 24 January 2015

Friday, 23 January 2015

Bichre to ehsas hua (wasi shah)

Ab jo bichre hein to ehsas hua hai hum ko
Dard kya hota hai tanhayi kissay kehte hein
Char soo goonjti ruswayi kissay kehte hein

                                    Ab jo bichre hein to ehsas hua hy hum ko

Koi lamha ho teri yaad mein kho jatay hein
Ab to khud ko mayyasar nahin aa patay hein
Raat ho din ho tere pyar mein hum behtay hein
                                  
                                   Dard kya hota hai tanhayi kissay kehte hein
                                  Ab jo bichre hein to ehsas hua hy hum ko

Jo b gham aaye osay dil pay saha kartay they
Aik waqt tha hum mil k raha kartay they
Ab akele he zamanay k sitam sehte hein

                                  Dard kya hota hai tanhayi kissay kehte hein
                                 Ab jo bichre hein to ehsas hua hy hum ko

Hum nay khud apnay he rastay mein bichaye kantay
Ghar mein phoolon ki jaga laa k sajaye kantay
Zakham es dil mein basaye howe khud rehtay hein

                              Dard kya hota hai tanhayi kissay kehte hein
                             Ab jo bichre hein to ehsas hua hy hum ko

Yoon to duniya ki har ik cheez haseen hoti hy
Pyar se barh k magar kuch bhi nahin hoti hy
Raasta rok k har ik se yahi kehte hein

                             Ab jo bichre hein to ehsas hua hy hum ko
                            Dard kya hota hai tanhayi kissay kehte hein
                           Char soo goonjti ruswayi kissay kehte hein
                          Ab jo bichre hein to...................................!

Ajeeb saniha guzra hai mujh pay

Ajeeb saaniha guzra hai mujh pay aaj ki shaam
Mein aaj shaam tumharay hijar mein udas na tha

Ab aik saal to ye aik gham he kaafi hai
Tumhari saalgirah par tumharay pass na tha

Gungunatay howe jazbat ki aahat pa kar (wasi shah)

Gungunatay howe jazbat ki aahat pa kar
Rooh mein jagnay wali hai koyi sargoshi

Aa kisi khoaf mein utrein kisi gham ko orehein
Kisi ujray howe lamhay mein sajayein khud ko

Thaam kar reshmi hathon mien hawa ki chadar
Rooh mein ghol lein taaron ka haseen tajmahal

Jee mein aata hai lipat jayein kisi chaand k sath
Bay yaqeeni k samandar ka kinara lay kar

Hum nikal jayein kisi khadshay ki ungli thamay
Teri yaadon k talay dard ka saye saye

Gungunatay howe jazbat ki aahat pa kar
Rooh mein jagnay wali hai koyi sargoshi

Sargoshi (wasi shah)

Es nay mere seenay par sar rakh kar poocha
Jaana! apnay jeevan ka wo lamha to batlao mujh ko
Jis k badlay mil saktay hein sabhi sitaray
Daryaon k saray moti
Sawan ki pehli barish k saray qatray
Ujlay chaand ki sari kirnein
Dharti k seenay se liptay sabhi khazanay
Saray mosam sabhi duayein
Pholon ki rangeen qabayein
Patti patti parnay wali bheeni shabnam
                                                 Ism e azam
Os nay mere seene par sar rakh kar poocha
Jaana! apnay jeevan ko wo lamha to batlao mujh ko
Jis k badlay sab kuch apna , sab kuch , sab kuch
Apna sab kuch day saktay ho
Mein nay os ka maatha chooma aur bola jab
Pehli baar mere seenay par tum nay apna sar rakha tha

Maan ly ab bhi meri jaan e ada (wasi shah)

Maan ly ab bhi meri jaan e ada , dard na chun
Kaam aati nahin phir koyi dua , dard na chun

Aur kuch dair mein mujh ko chalay jana ho ga
Aur kuch dair mujhe khuwab dikha , dard na chun

Aik bhi dard na kam hoga kayi sadiyon mein
Ab bhi kehta hun tujhe waqt bacha , dard na chun

Wo jo likha hai kisi tor nahin tal sakta
Aa mere dil mein koyi deep jala , dard na chun

Mein tere lams se mehroom na reh jaoun kahin
Aakhri baar mujhe khud se laga , dard na chun

Ab to reshmi porein bhi chadi jati hein
Khud ko ab bakhsh bhi dy zulm na dha , dard na chun

Ye nahin hon gein to khali nahin ho jaoun ga mein
Mere zakhmon se koyi geet bana , dard na chun

Kuch na day ga ye masayal se uljhtay rehna
Chor sab kuch mere baanhon mein sama , dard na chun

Wednesday, 21 January 2015

Tumhein to shayad khabar nahin hai (wasi shah)

Tumhein to shayad khabar nahin hai
Mere badan mein tumharay choonay se
Sansanahat si jaagti thi
Wo jam gayi hai
Tumhari awaz meri rag rag mein
Tham gayi hai

                       Tumhein to shayad khabar nahin hai

Magar tumhari haseen poron 
Ki dastaras mein jo hont they
Un gulabi honton ki salwatein
Khushk ho gayi hein

                         Tumhein to shayad khabar nahin hai

K chaand raaton mein
Library ki seerhiyon k udas goshay mein
Tum nay mujh ko buhat muqaddas qarar dy kar
Kaha tha
"Tum meri zindagi ho"

                    Tumhein to shayad khabar nahin hai

Wo lafz ab bhi wahin kahin hein

                      Tumhein to shayad khabar nahin hai

K aakhri roz jatay jatay
Meri ijazat se mere maathay pay
Aik bosa saja gaye they
Meri muhabbat ka pehla aur aakhri asasa
Udas campus ki nehar par bay pinha taqaddus
Liye wo bosa wahin para hai
Tum apnay ghar ko chalay gaye ho
Mein aur ki dastaras mein hun ab
Mere tumharay khayal , sochein ,mijaz tak to badal gaye hein
Magar kabhi tum udhar se guzro
To aaj bhi tum ko dheere dheere
Wo bosa rota sunayi day ga
Meri muhabbat ko pehla aur aakhri asasa
                                        Magar tumhein to khabar nahin hai
                                        Magar tumhein to khabar nahin hai.....!



Ik lamhay mein (wasi shah)

Pehli baar jab os nay meri maa ko ammi jan kaha to
Mujh ko yun mehsoos hua tha
Apna sab kuch chor k jaisay
Ik lamhay mein
Mera sab kuch es nay apna maan liya hai
                                          Mujh ko sab kuch jaan liya hai

Ye dil bhi rooth gaya (wasi shah)

Ye zabt choot gaya to tumhari yaad aayi 
Mein thak k toot gaya to tumhari yaad aayi
Tumharay baad na tha koyi mera , dil k siwa
Ye dil bhi rooth gaya to tumhari yaad aayi

Mujh ko paanay ki chahat mein (wasi shah)

Mere molaa!
Aaj zara es taptay din ko
Thanda kar dy
Chota kar dy
               
                Isay ghata dy
Badal k tukray se keh kar
Barish kar dy
Bondein aayein


            Pon chalay
Aur sooraj guzray jaldi se
Maghrib aajaye

Mere maalik!
Aaj bhi os nay
Meri khatir
Mujh ko panay ki chahat mein 
               
                        Tera roza rakha hai...........!!

Ab jo lotay ho itnay salon mein (wasi shah)

Ab jo lotay ho itnay saalon mein
Dhoop utri howi hai baalon mein

Tum meri aankh k samandar mein
Tum meri rooh k ujalon mein

Phool he phool khil uthey mujh mein
Kon aaya mere khayalon mein

Mein nay jee bhar k tujh ko daikh liya
Tujh ko uljha k kuch sawalon mein

Meri khushiyon ki kaiynaat bhi tu
Tu he dukh dard k hawalon mein

Jab tera doston mein zikar aaye
Thaiss uthti hai dil k chalon mein

Tum se aabad hai ye tanhayi
Tum he roshan ho ghar k jalon mien

Saanwli shaam ki tarah hai wo
Wo na goron mein hai , na Kalon mein

Kya osay yaad aa raha hun wasi
Rang ubhray hein os k gaalon mein

Tuesday, 20 January 2015

Saari raat ki jaagi aankhein (wasi shah)

Saari raat ki jaagi aankhein
College mein kya parhti hon gi ?


Zara sa to tehar ay dil (wasi shah)

Zara sa to tehar ay dil...........!
Abhi kuch kaam baaqi hein
Abhi aangan mein mujh ko motiye k kuch naye poday laganay hein
Abhi un shokh honton k kayi andaz hein jin ko
                                           Mere honton pay khulna hai
Abhi es jisam nay mujh se
Buhat si baat karni hai
Abhi es dil k janay kitnay he gham aisay hein jin ko
Mujhe apnay badan mein rooh mein bharna hai
Es k saath janay kitnay rastay hein
                Ikhathey jin pay chalna hai
Abhi kuch aisay waday hein
K jin ko poora karnay ka kayi barson se lamha he mayyasar aa nahin paya
Abhi wo waqt aana hai
Abhi waday nibhanay hein
Abhi kuch sher aisay hein k jo mein keh nahi paya
Unhein tehreer karna hai
Abhi kuch geet aisay hein k jin ki dhun banani hai
Adhuri si kisi tasweer ki takmeel karna hai
Kayi kaghaz hein wo jin par mere sign zaroori hein
Abhi kuch batein aisi hein k jo barson se
Mere zehan mein thein
Soch rakha tha , osay ik din bataoun ga
                                             Batani hein
Abhi kuch qissay aisay hein k jo os ko sunanay hein
Kayi kotahiyan aisi bhi hein jin par nadamat hai
Osay sab kuch bata kar
Bojh es dil ka ghatana hai
Abhi kuch dair pehle bas zara si dair pehle he
Zara si baat par wo mujh se rootha tha
Zara sa to tehar ay dil
Abhi os ko manana hai
                             Abhi os ko manana hai.........!

Kis kis se waday kiye muhabbat k tun ne...?

Kis kis se waday kiye muhabbat k tu ne...?
har guzarta shakhs tere ghar ka pata poochta hai....!

Monday, 19 January 2015

Mere aangan mein aao (wasi shah)

Mere aangan mein aao....!
Toot'tay pattay to daikho
Mere sab khirkiyon par hijar ka kohra jama hai
Mere darwazon k baazu
Tumharay loutnay ki chah mein shal ho gaye hein
Mere ghar k charaghon ki har ik lo
Dard mein doobi howi hai
Wo daikho thar tarahat been karnay lag gayi hai
Mere takiye pay tehri dhool daikho
Mere bistar ki chadar bay shakan gum sum pari hai
Wo aatishdaan daikho kis tarah soona rakha hai
Wo daikho raat ka khana para hai
ye daikho chai thandi ho sakti hai
Tumharay khat , kitabein , card , tohfay
Mujhe milnay ki khuwaish mein mere charon taraf bikhray howe hein
Wo ik tasweer mere samnay gumsum pari hai
Wo ik konay mein hasrat thak gayi hai so gayi hai
Ye barhti shave ye gadlay sleeper
Mere balon mein furqat jam gayi hai
Mere honton se chup lipti howi hai
Tumharay lams ki hiddat nahin to
Mere poron men sardi tham gayi hai
Tumhara hijar had se barh chuka hai
Mujhe tanhayi chubhnay lag gayi hai
Mein thak kar tootnay wala hua hun
Mein khud se raabtay na tor bethun
Kahin mein hosla na chor bethun
Kahin mein hosla na........................!

Sunday, 18 January 2015

Phir wo campus ki fiza ho , shaam ho (wasi shah)

Phir wo campus ki fiza ho , shaam ho
Hath hathon mein tera ho , shaam ho

Khof aata hai mujhe os waqt se
Raasta na mil raha ho , shaam ho

Kis qadar bay kaif guzray gi wo shaam
Tu mujhe bhoola hua ho shaam ho

Kyun na shiddat se mujhe aaye gaon
Shehar ka banjar pana ho , shaam ho

Ho rahi ho teri tasweeron se baat
Tera khat khola hua ho , shaam ho

Sardiyan , barish , hawa , chay ka cup
Wo mujhe yaad aa raha ho , shaam ho

Dard e gham ki dhund mein lipta hua
qaafla sa chal para ho , shaam ho

Ya ilahi aisay lamhay se bachaa
Wo kabhi mujh se khafa ho , shaam ho

Ik yahi khuwaish na poori ho saki
Tu kalejay sa laga ho , shaam ho

Tumhari yaad se jab bhi wazu nahi karta (wasi shah)

Koyi malal koyi aarzu nahin karta
Tumharay baad ye dil guftagu nahi karta

Koyi na koyi meri cheez toot jati hai
Tumhari yaad se jab bhi wazu nahi karta

Behlawa (wasi shah)

Rishta tor k janay walay
Mujh ko chor k janay walay
Ab ki eid pay
Mujh ko jitnay card milay hein
Un cardon mein 
Sab se piyara
Sab se acha
Pehla card tumhara hai
Mujh ko chor k janay walay
Zara kaho to
Ye kis aur ishara hai........?

Hum ne jo deep jalaye hein , teri galiyon mein (wasi shah)

Hum nay jo deep jalaye hein , teri galiyon mein
Apnay kuch khuwab sajaye hein , teri galiyon mein

Janay ye ishq hai ya koyi karamat apni
Chaand lay kar chalay aaye hein , teri galiyon mein

Tazkira ho teri galiyon ka to darr jata hai
Dil nay wo zakham uthaye hein , teri galiyon mein

Es liye bhi teri galiyon se hamein nafrat hai
Hum nay armaan ganwaye hein , teri galiyon mein

Kyun har ik cheez adhuri si hamein lagti hai
Janay kya chor k aayein hein , teri galiyon mein

Uljhan (wasi shah)

Tera mera rishta kuch aisa uljha hai
Es ko suljhatay suljhatay
Apnay dil ki porein zakhmi kar betha hun
                                       
                                        Rishta shayad sulajh na paaye

Lekin es ko suljhanay ki dhun mein jaana!
Saaray khuwab bhula betha hun

                   Apna aap ganwa betha hun

Sorry (wasi shah)

Ab magar kuch bhi nahin kuch bhi nahin ho sakta
Apnay jazbon se ye rangeen shararat na karo
Kitni masoom ho naazuk ho himaqat na karo
Baar ha tum se kaha tha k muhabbat na karo

Mere mola teri jannat se juda lagti hai (wasi shah)

Mere mola teri jannat se juda lagti hai
Meri dharti mujhe masoom dua lagti hai

Gali mein dard k purzay talash karti thi (wasi shah)

Gali mein dard k purzay talash karti thi
Mere khatoot k tukray talash karti thi

Kahan gayi wo kanwari , Udaas bi aapa
Jo gaon gaon mein rishtay talash karti thi

Bhulaye kon aziyat pasandiyan es ki
Khushi k dher mein sadmay talash karti thi

Ajeeb hijar parasti thi es ki fitrat mein
Shajar k toot'tay pattay talash karti thi

Qayaam karti thi wo mujh mein soofiyon ki tarah
Udaas rooh k goshay talash karti thi

Tamam raat wo parday hata k chaand k saath
Jo kho gaye they wo lamhay talash karti thi

Kuch es liye bhi mere ghar se es ko thi wehshat
Yahan bhi apnay he piyaray talash karti thi

Ghuma phira k judayi ki baat karti thi 
Hamesha hijar k harbay talash karti thi

Tamam raat wo zakhma k apni poron ko 
Mere wajood k rezay talash karti thi

Duayein karti thi ujray howe mazaron par
Baray ajeeb saharay talash karti thi

Mujhe to aaj bataya hai badlon nay wasi
Wo lout aanay k rastay talash karti thi

Maa ! mujhe neend nahi aati (wasi shah)

Maa! mujhe neend nahi aati hai
Aik muddat se mujhe neend nahi aati hai
Maa! mujhe lori sunao na
Sula do na mujhe

                           Maa! mujhe neend nahi aati hai
                           Raat jagay ab to muqaddar hein meri palkon ka
                           Neend aaye to liye aati hai baghdad ki yaad
                          Aankh lagtay he ko bewa utha daiti hai
                         Pait kitna he bharoon bhook nahi mit'ti hai

Jaltay basra ki mujhe piyaas jaga daiti hai
Koyi qandhar ki waadi se bulata hai mujhe
Zikar qandoz ka aaye to mujhe lagta hai
Kaat k sar koyi hansta hai , jalata hai mujhe
Bam ki awazein mujhe kuch nahi kehti hein magar
Zakham in bachon k sonay nahin daitay hein mujhe
Maa meri aankhein to pathar ki howi jati hein
Nojawan laashay ye ronay nahin daitay hein mujhe
Mere seene pay rakho haath
Rula do na mujhe.......!
Maa! mujhe lori sunao na
Sula do na mujhe.......!
Maa! mujhe neend nahin aati hai

                 Aik muddat se mujhe neend nahin aati hai.........!


Saturday, 17 January 2015

Tumharay hathon k liye ik dua (wasi shah)

Mera mola ye haseen hath salamat rakhna

                                       Aisa lagta hai jo ye hath dua ko uthein
                                       Khud farishtay chalay aatay hon zameen ki janib
                                       Sonp kar mar mareen hathon ki hatheli ko hinaa
                                      Jo bhi manga ho wo chup chaap diye jatay hon

Mere mola ye haseen hath salamat rakhna

                                      In ki khushbu se muat'tar hai mera sara wajood
                                      Inhe hathon mein mere khuwab chupay hein mola
                                      Ungliyan mujh ko muhabbat mein bhigo daiti hein
                                      Inhe poron nay mere dard chunay mola

In ki rag rag mein muhabbat he muhabbat rakhna
Mere mola ye haseen hath salamat rakhna

                                     Inhe hathon ki lakeeron mein muqaddar hai mera
                                     ye jo konay mein sitaara hai sikandar hai mera
                                    Khuwab se naram khayalon ki tarah naazuk hein
                                   In k har lams mein mere liye chahat rakhna

Mere mola ye haseen hath salamat rakhna
Mere mola ye haseen hath salamat rakhna

Mangay tu agar jaan b hans k tujhe day dein (wasi shah)

Aankhon se meri es liye laali nahi jati
Yadon se koyi raat jo khali nahi jati

Ab umar na mosam na wo rastay k wo paltay
Es dil ki magar khaam khayali nahi jati

Maangay tu agar jan bhi hans k tujhe day dein
Teri to koyi baat bhi taali nahi jaati

Aaye koyi aa kar ye tere dard sanbhalay
hum se to ye jageer sanbhali nahi jati

Maloom hamein bhi hein buhat se tere qissay
Par baat teri hum se uchaali nahi jati

Humraah tere phool khilaati thi jo dil mein
Ab shaam wohi dard se khali nahi jati

Hum jaan se jayein gein tabhi baat banay gi
Tum se to koyi raah nikali nahi jati

Log kehte hein mere dil pay tera saaya hai (wasi shah)

Es liye koyi ziyada nahin rukta hai yahan
Log kehte hein mere dil pay tera saaya hai

Girah (wasi shah)

Lotnay wala aaya hai
Saaray shikway bhool chukay hein
Hum dono phir pehlay walay meet howe hein
Lekin ab wo mere dukh pay afsurda ho
ya mera khushyon par khush ho
To lagta hai
Mein eska sotela dukh hun
           Mein es ka sotela pyar.........

Friday, 16 January 2015

Almiya (wasi shah)

Tumhari zulfein
Tumhari palkein
Tumhari aankhein
Tumhara chehra
Tumharay shaanay
Surahi gardan
Kalaiyon mein khanaktay kangan
Hinayi hathon ki ungliyon ki haseen porein
K jin mein sundal mehak rahi hai
Ye naram sanson ki gungunahat
qadam uthao to dharkanein
saath chorti hein
Badan ka har zaaviya qayamat
Nahin tumhari misaal janaa!
kamaal ho tum kamaal janaa!
tumhara sab kuch haseen hai la jawab hai par
mera nahin hai
Tumhara kuch b mera nahin hai...........!

Hosla (wasi shah)

ye mera hosla hai tere bagher
Saans leta hun baat karta hun

Mujrim (wasi shah)

Tumhein maloom hai jaana!
K tum bhi aik qaatil ho
Mere andar ka ik hansta hua insaan
Tum ne maar dala hai

Jo os k samnay mera ye haal aa jaye (wasi shah)

Jo os k samnay mera ye haal aa jaye
To dukh say aur bhi os par jamal aa jaye

Mera khayal bhi ghunghroo pehan k naachay ga
Agar khayal ko tera khayal aa jaye

Har aik shaam naye khuwab es pay kaarein gay
Hamaray haath agar teri shaal aa jaye

Inhe dino wo mere sath chai peeta tha
Kahin say kaash mera pichla saal aa jaye

Mein apnay gham k khazanay kahan chupaoun ga
Agar kahin say koyi ind e maal aa jaye

Har aik baar naye dhang se sajayein tujhe
Hamaray hath ho phoolon ki daal aa jaye

Ye doobta hua sooraj tehar na jaye wasi
Agar wo samnay waqt e zawaal aa jaye

Red Charade (wasi shah)

Os se mein aksar kehta tha
jaana ! apni gaari badlo
tum par ye choti sherad bilkul suit nahin karti hai
daikho es k pahiye daikho
daikho daikho ye desh board
                                   Kitna halka , kitna sasta
waisay bhi tum such pucho to ye jo ungli mein daimond hai
                                 Ye bhi es se mehanga hoga
Es mei aisi do , do carein aa sakti hein
 Os se mein aksar kehta tha
Yaar ! tum apni gaari badlo
jarray se aanay walay hein aur heeter kaam nahin karta hai
Ye A/C bhi theek nahin hai tum ko loo bhi lag sakti hai
aur ye daikho
itni achi compozition aur boseeda sound system
                                             Meri aqal se sab bahar hai
Mein to public transport par aa jata hun
bachpan se es ka aadi hun
Lekin tum ye kaisay , kyun kar , itni choti gaari toba
                                                        Meri aqal se sab bahar hai
Es se mein aksar kehta tha
yaar ! tum apni gaari badlo
Ik din wo zutch ho kar boli
"Janay kya hai kuch arsay say
Jab se tum jeevan mein aaye
Choti gaari , choti cheezein
Do kamron k chotay ghar aur chota aangan
choti moti hansti duniya , choti galiyan
                                          Choti basti
                    Nanhay munnay mehkay khuwab
                   Aur kuch choti choti khushiyan
                                                    Mujh ko ab achi lagti hein
Janay kya hai lekin sab kuch choti choti khuwaish ban kar
Mein nadan tha ye samjha wo meri ghurbat mein asani se reh lay gi
Phir kuch urtay lamhay aaye
College k do saal yun guzray jaisay sans guzar jati hai
do salon mein mosam badlay faishon aur say aur hua aur
                                                Sochon mein tabdeeli aayi
Hum chotay se baray howe aur
Jeenay ko pehle se barh kar mushkil paaya
Es ki har choti khuwaish kar qad nikla aur
                         Os ki nanhi sochon ne b karwat badli
Ik din es nay apnay ghar ki saari choti choti cheezein
apnay maali k chotay bachay ko day di
choti galiyan , chotay aangan , choti basti
Ye sab to waisay bhi es ko ik ghar mein he mil sakta tha
                                                     Es nay choti gaari badli
Tark kiye wo saaray dost
Sab rishtay aur saray sathi 
Jo chotay they
Aur shayad un sab choton mein
                                           Mein sab se ziyada chota tha
Es se mein khud he kehta tha
                             Yaar ! tum apni gaari badlo..................



Meri ankhon mein aansu pighalta raha , chaand jalta raha (wasi shah)

Meri ankhon mein aansu pighalta raha , chaand jalta raha
Teri yaadon ka sooraj nikalta raha , chaand jalta raha

Koyi bistar pay shabnam lapetay howe khuwab daikha kya
Koyi yaadon mein karwat badalta raha , chaand jalta raha

Meri aankhon mein campus ki sab saa'atein jagti hein abhi
Nehar par to mere sath chalta raha , chaand jalta raha

Mein to ye janta hun k jis shab mujhe chor kar tum gaye
Asmano say shoula nikalta raha , chaand jalta raha

Raat aayi to kya kya tamashay howe tujh ko maloom hai?
Teri yaadon ka sooraj ubalta raha , chaand jalta raha

Raat bhar meri palkon ki dehleez par khuwab girtay rahay
Dil tarapta raha , hath malta raha , chaand jalta raha

Ye december k jis mein karri dhoop bhi meethi lagnay lagay
Tum nahin to december sulagta raha , chaand jalta raha

Aaj bhi wo taqaddus bhari raat mehki howi hai wasi
Mein kisi mein , koyi mujh mein dhalta raha , chaand jalta raha




Wednesday, 14 January 2015

tere galay mein jo banhon ko daal rakhtay hein

Tere galay mein jo banhon ko daal rakhtay hein
Tujhe mananay ka kaisa kamaal rakhtay hein

Tujhe khabar hai tujhe sochnay ki khatir hum
Buhat se kaam muqaddar pay taal rakhtay hein

Koyi bhi faisla hum soch kar nahin kartay
Tumharay naam ka sikka uchaal rakhtay hein

Tumharay baad ye aadat si ho gayi apni
Bikhartay sookhtay pattay sanbhal rakhtay hein

Khushi si milti hai khud ko aziyatein day kar
So jaan boojh k dil ko nidhaal rakhtay hein

Kabhi kabhi wo mujhe hans k daikh laitay hein
Kabhi kabhi mera bay had khayal rakhtay hein

Tumharay hijar mein ye haal ho gaya apna
Kisi ka khat ho ose bhi sanbhal rakhtay hein

Khushi milay to tere baad khush nahin hotay
Hum apni aankh mein har dam malal rakhtay hein

Zamanay bhar se bachaa kar wo apnay aanchal mein
Mere wajood k tukray sanbhaal rakhtay hein

Kuch es liye bhi to bay haal ho gaye hum log
Tumhari yaad ka bay had khayal rakhtay hein

Ik aanchal se bandha hai sab kuch

Aik aanchal se bandha hai sab kuch
Aik tasweer
Aur tasweer ye bheegay howe hont
Aik sundal ki anabi pencil
Aik bay rabt saa ukhra hua khat
Aik adad card
Jis ko choonay se teri yaad chali aayi hai
Aur es card mein rakhi howi aqloti palak
Jis se maanoos duaaon ki mehak aati hai
Kisi gumnaam se shayer ka adhura misra'a
Aik paazaib se bichra hua ujla moti
Ik murjayi howi zard chanbeli ki kali
Jis mein ab bhi teri zulfon k bhanwar liptay hein
Aik boseeda Question paper
Jis k konay pay likha naam abhi taaza hai
Sharbati kaanch ki tooti howi naazuk choori
Aik toota hua halka sa gulabi naakhun
Aik gadla sa tissue paper bhi
Jis pay mehkay howe ashkon k nishaa'n zinda hein
yahi dolat hai yahi kuch hai asasa mera
Aik aanchal se bandha hai sab kuch
Hasrato'n , siskiyon , aaho'n mein sameta aanchal
Teri khushboo mere ashkon mein lapeta aanchal
                     Aik aanchal se bandha hai sab kuch
                                            Aik bheegay howe aanchal se bandha hai sab kuch


Janaa ! tum aanay wali ho

Jab se ye pegham mila hai
Janaa ! tum aanay wali ho
Mosam nay saray ghar ki tarteeb badalkar rakh daali hai
chokhat pay ik chand bhi aa kar beth gaya hai
Kayi sitaray laaounj mein kab se paray howe hein
Kehtay hein k
Es rastay se tum guzro gy
Nanhay munnay kayi gulabon ka kehna hai
Jitnay din tum paas raho gy
Ghar k har konay mein aa kar wo mehkein gein
Phoolon nay mil kar sab konay baant liye hein
Jugnoo kab se chat pay  , ghar k
Har goshay mein chamak rahay hein
Sooraj aur baarish bhi kal se saaiyban par tikay howe hein
Dheemay dheemay chehak rahay hein
Shaam to kab se kayi tarah k mosam lay kar
Es kamray mein ruki hui hai jis kamray mein tum thehro gy
Tum aao gy to ye shaam hazaron mosam
Sundar sundar saji howi aankhon ko dy kar
Kho jaye gi
Phir na kabhi wapis aaye gi
Es se pehlay k ye shaam b
Saaray mosam lay kar mujh ko khaali kar k kho jaye
Tum aa jao naa !
Abhi aaa jao............!!!1

Hum se kya poochtay ho hijar mein kya kartay hein

Hum se kya poochtay ho hijar mein kya kartay hein
Tere lout aanay ki din raat dua kartay hein

Ab koyi hont nahin en ko churanay aatay
Meri aankhon mein agar ashk hua kartay hein

Teri tu janay , par ay jaan e tammana hum to
Saans k saath tujhe yaad kiya kartay hein

Tu he pehlu mein nahin warna december mein wahin
Dhoop mein beth k akhbaar parha kartay hein

Kabhi yaadon mein tujhe banhon mein bhar laitay hein
Kabhi khuwabon mein tujhe choom liya kartay hein

Teri tasweer laga laitay hein hum seenay se
Phir tere khat se teri baat kiya kartay hein

Gar tujhe chornay ki soch bhi aaye dil mein
Hum to khud ko bhi wahin chor diya kartay hein

Aaj hamein ye baat samaj mein aayi hai

Aaj hamein ye baat samaj mein aayi hai
Tum mosam ho , aur mosam harjayi hai

Tu nay kaisay mor pay chor diya mujh ko
Dil ki baat chupaoun to ruswayi hai

Tere baad bucha he kya hai jeevan mein
Mein hun , bheegi shaam hai , aur tanhayi hai

Aaj meri aankhon mein sawan utray ga
Aaj buhat din baad teri yaad aayi hai

Aaj ki raat buhat bhari hai dono par
Aaj mujhe wo khat loutanay aayi hai

Janay mein kya soch k chup hun gum sum hun
Janay wo kya soch k waapis aayi hai

Ye mehman nawazi hai ya aur hai kuch
Mere liye wo chaay bana kar laayi hai


Jaan se maar dy mujhe lekin

jaan se maar dy mujhe lekin
Chor janay ka mujh par zulm na kar

Tum meri kon ho!!!!

Tum meri kon ho tum se hai tal'luq kaisa?

                           Tum kisi dhund mein lipti howi tanhayi ho
                           Meri shohrat ho dua ho meri ruswayi ho
                           Baat karti ho kabhi chup mein bikhar jati ho
                          Kyun meri roohk goshon pay sitam dhaati ho

Tum meri kon ho tum se hai tal'luq kaisa?

                         Gungunati ho to mehsoos ye hota hai mujhe
                         Jaisay daryao'n k saahil se sadaa aati ho
                         Paas aata hun to khuwabon mein utar jaati ho
                         Door jata hun to daman se lipat jati ho

Tum mere paas hoan door ho mere dil se
Tum mere paas hona door ho mere dil se

Tum meri kon ho tum se hai tal'luq kaisa?

Tumhari yaad se har pal saja hua campus

Tumhari yaad se har pal saja hua campus
Mein kya karun k bhula he nahi saka campus

Udaas nehar mein tum paaon dalay rakhti thein
Tumharay baad udaasi mein dhal gaya campus

Najanay kon yahan os ka kho gaya ho ga
Kisi ki aakhri sanson mein thi dua , campus


Jo main nay hilye ki sarkon pay tum ko yaad kiya
Tumhein khabar hai mere saath ro para campus

Kisi nay tujh mein guzaray hein itnay saal yahan
So mein rahoon na rahoon to sadaa campus

Har ik department se es k qehqahay goonjay
Mein es k baad wasi jab kabhi gaya campus

Dil mein bikhray howe jalon se pareshan na ho

Dil mein bikhray howe jalon se pareshan na ho
Mere guzray howe saalon se pareshan na ho

Meri awaaz ki talkhi ko gawara kar lay
Mere gustaakh sawalon se pareshan na ho

Mein nay maana teri aankhein nahin khulti hein magar
Din nikalnay day , ujalon se pareshan na ho

Apni zulfon mein utarti howi chaandi ko chupa kar
Mere bikhray howe baalon se pareshan na ho

Ay nayi dost mein bhar poor hua hun tera
Mere maazi k hawalon se pareshan na ho

Daikh yoon door na ho mujh ko laga lay dil se
Tu meri rooh k chalon se pareshan na ho

Khud ko veeran na kar mere liye , jaan meri
In pareshaan khayalon se pareshan na ho

Kahin charagh roshan hein , kahin pay madham hein

Kahin charagh roshan hein , kahin pay madham hein
Tumharay aanay k imkaan hein , magar kam hein

Mein lout'tay howe chupkays se chorr aaya tha
Tumharay takiye pay mere hazaar mosam hein

Tumharay paaon ko choo kar zamana jeet liya 
Tumharay paaon nahin hein , aik aalam hein

Muhabbatein howi taqseem to ye bhaid khula
Hamaray hissay mein khushiyan nahin hein, matam hein

Kuch isi liye bhi hamein dukh se dar nahin lagta
Hamari dhaal tere dard hein , tere gham hein

Abhi kaho , to abhi , ye bhi tum ko day dein gein
Hamaray paas jo ginti k aik do dam hein

Abhi khulein gein bhala kaisay kaiynaat k raaz
Teri kamar mein kayi morr hein , kayi kham hein 




Jab gham meri dharkan meri baton se ayyan tha , tu kahan tha

Jab gham meri dharkan meri baaton se ayyan tha , tu kahan tha
Jab charon taraf dard k darya ka sama'n tha , tu kahan tha

Ab aaya hai jab dhal gaye hein sabhi mosam , mere hamdam
Jab tere liye mera har ehsas jawaa'n tha , tu kahan tha

Ab siraf khamoshi hai muqaddar ka sitara , mere yara
Jab lafz pay faqat tera faqat tera biyaan tha , tu kahan tha

Ab aaya hai jab kaam dikha bhi gaya sawan , mere sajan
Jab char soo mere liye khushiyon ka sama'n tha , tu kahan tha



Justice

Yaad hai tum ko............!
Ghar k pichlay lawn mein hum tum
Shab bhar batein kartay hein
Jhagra hota to hum larr kar
Chaand ko munsif kar laitay they
Chaand sada ka paaji hai
Chahay kuch ho
Magar hamesha
Aik he baat kiya karta tha
Teri side liya karta tha

Sulag rahi hein agar batiyan si mujh mein wasi

Sulag rahi hein agar batiyan si mujh mein wasi
Tumhari yaad nay mehka diya , jala b diya